🍜 *BAGAIR DAWAT KE KISI KO SATH LEJANA*🍚
⭕AAJ KA SAWAL NO.995⭕
Kisi ke yahan ek admi ko dawat ho to us shakhs ka apne bete ya bhai ya kisi mehman ko sath le jana kesa hai?
🔴AAJ KA JAWAB🔴
agar us shakhs ke sath aesi be takallufi-aesa gehra talluq hai ke us shakhs ko aap ke kisi ko sath le jane se naa gawari nahi hogi balke khushi hoga to kisi rishtedar ko bagair dawat Ke sath le jana jaiz hai koi haraj nahi.
Agar aesi be takallufi nahi hai to us ki ijazat ke bagair kisi ko apne sath le jana bilkul jaiz nahi ahaadees me aese tufeliyon-mufatiyon ke bare me aaya hai ke aesa shakhs lutera bankar gaya aur chor ban kar aaya
📗DEENEE MASAIL AUR UN KA HAL SAFA 106 SE MUSTFAAD
BA HAWALA SUNANUL KUBRA LIL BAYHAQE
✏IMRAN ISMAIL MEMON MUDARRISE E DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
http://www.aajkasawal.page.tl
http://Telegram.me/Aajkasawal
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group
No comments:
Post a Comment