*SHABE MERAJ KI IBADAT*
⭕AAJ KA SAWAL NUMBER 989⭕
shabe meraj me ibadat karne me kya haraj hai ?
🔵 AAJ KA JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
*(Msg 988 se aagey)*
WOH RAAT AZEEMUSHSHAAN THI
Aur agar bil farz ye tasleem bhi kar liya jaye ke Aap sallallahu alaihi wasallam 27 Rajab hi ko Meraj tashreef le gaye the, jis me ye azeemush shaan waqia pesh aya, aur jisme Allah Ta'ala ne Nabi e kareem sallallahu alaihi wasallam ko ye Maqaam ata farmaya, aur apni baargaah me hazri ka sharf bakhsha, aur Ummat ke liye Namazon ka tohfa bheja, Beshak wo Raat badi Azeemush Shaan thi, kisi Musalman ko uski azmat me kya shubah ho sakta hai ?
*AAP sallallahu alaihi wasallam KI ZINDAGI ME 18 MARTABA SHAB E MERAJ KI TAREEKH AAYI LEKIN*
Ye waqia san 5 Nabwi me pesh aaya, yani Huzoor sallallahu alaihi wasallam ke Nabi banne ke panchwe saal ye Shab e Meraj, jiska matlab ye hai ke is waqie ke baad 18 saal tak aap dunya me tashreef farma rahe, lekin in 18 saal ke dauraan ye kahi sabit nahi ke Aap sallallahu alaihi wasallam ne Shab e Meraj ke bare me koi Khaas hukum diya ho, ya us ko manane ka Ahtemam farmaya ho , ya uske bare me ye farmaya ho ke us raat me Shab e Qadr ki tarah Jaagna ziyada Ajro Sawaab ka baais hai, na to aap ka aisa koi Irshad sabit hai aur na aap ke zamane me is raat me jaagne ka ahtemam sabit hai, na khud Huzoor sallallahu alaihi wasallam Jaagey, aur na Sahaba e kiram Razi Allahu anhum ko is ki takeed ki, aur na Sahaba e kiram Razi Allahu anhum ne apne taur par iska ahtemam farmaya.
*(baaqi kal inshaAllah)*
📙 SHAIKHUL ISLAM HAZRAT MUFTI TAQI USMANI D.B. KE ISLAHI KHUTBAT KE BAYAN KA KHULASA
و اللہ اعلم
📝 Mufti Imran Ismail Memon.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat, Gujarat,india
📱💻http://www.aajkasawal.page.tl
No comments:
Post a Comment