Thursday, April 20, 2017

TIN TALAQ KI HIKMAT

*TIN TALAQ KI HIKMAT*

⭕AAJ KA SAWAL NUMBER  986⭕

Islami shareeat me tin hi talaq kyun hai ?
tin se zayada ya tin se kam kyun nahi hai ?
Tin talaq me bivi haraam kyun ho jati hai ?

🔵 AAJ KA JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Arab ke jahiliyat ke zamane me talaq ki koi had tay na thi, log jitni chahe talaq dete the, aur us ke baad bivi se rujooa (nikah me wapas) kar lete the. kyun ke iddat khatm ho to nikah khatm ho jata hai. masalan chothi (4th) martabah bhi talaq di aur iddat (tin haiz ya tin mahine) puri ho us ke pehle hi wapas rujooa (nikah me zaban se bolkar ya hath se chhu kar wapas) kar lete the, is tarah zalim shohar se bivi ko chhutkara na milta tha, dasyon aur bisyon martaba aesa karte the, agar bivi chali bhi jati to bivi ko samjha patakar mithhi mithhi baten kar ke wapas bula lete the, goya talaq ko khel bana rakha tha.

isliye Hazrat paigamabar صل اللہ علیہ وسلم ne is zulm ko aur tamashe ko khatm karne ke liye, aurton ko insaf dilane ke liye, farmaya : talaq zayada se zayada tin (3) hi hai, tin se bivi haraam ho jayegi, taake log tisri talaq soch samjh kar de, wapas na lane ka pakka iradah ho, waqiee bivi se us ki kami kotahi ki wajha se nafrat ho chuki hai,  to hi tin talaq de, kyun ke ab sirf rujooa karna ya sirf nikah padhna kafi nahi, balke us bivi ko wapas lana ho to talaq dene ki shart kiye bagair woh kisi se nikah kare, aur bivi ka jismani haq (sohbat-sambhog) se ada kare, aur dusra shohar jab chahe apni marzi se talaq de, ya na bhi de, ya us ka intiqal ho jaye, aur us ke baad us ki iddat khatm hone ke baad bivi apni marzi se chahe to hi wapas tere nikah me aayegi. ab dusri baar nikah ke mahar ke rupiye, shadi ka pura kharch tujhe hi karna padega, ab wapas lana aasan nahi, balke bahut mushkil hai, isliye bahot soch samjhkar talaq dena.

*TIN SE KAM KYU NAHI*

Jama-prular bahu wachan me kam se kam tin hota hai. zayada ki to had nahi, isliye tin hi se had bandi-lemit kar di, aqal ka taqaza ye tha ke ek hi talaq se nikah khatm ho jata, lekin us me sochne ka mavqa na milta, baaz logon ko neamat ki qadar neamat jane ke baad hoti hai, isliye ek se zayada talaq ka tareeeqah shareeat ne diya hai is tarah ke pehli talaq nikah ke khatm karne ki talab, aeltimetam, pretical iradah aur tajrabe ke liye hai,
dusri us iradah ke takmil yani us ko pakka batane ke liye hai aur
tisri me to ikhtiyar hath se jata rehta hai isliye nikah hi khatm ho jata hai

📗RAHMATULLAHE WASIAA SHARHE HUJJATULAHE BALIGAH 5/146 SE MAKHOOZ
 
و اللہ اعلم
📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat, Gujarat,india

📱💻http://www.aajkasawal.page.tl

📱Telegram.me/Aajkasawal

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...