Sunday, April 30, 2017

TEEN TALAAQ EK SAATH KYUN HO JATI HAI?

*TEEN TALAAQ EK SAATH KYUN HO JATI HAI?*

⭕AAJ KA SAWAL NO.997 ⭕

Aaj kal log teen talaaq ek saath me hi de dete hain lihaza aisa kuchh hona chahiye ke us se talaaq waqea hi na ho ya teen talaaq ek hi waqea ho aur nikah ka rishtah khatm na ho?

🔵 AAJ KA JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Deen ke ahkam me galaty nikalna ya us ko apni khwahish-manmaani ke tabea karna imaan ko barbaad karnewali cheez hai haan kabhi aisa vasvasah aaye ya koi gair muslim sawal kare to inko yeh jawab diya jaye ke teen talaaq ek saath dena islam me sakht haraam aur saza ke qabil gunah hai teen talaaq ek saath hargiz nahin deni chahiye.

Balke talaaq dene se pahle ek tarteeb hai jis ke char (4) step hain

Pehle bivi ko samjhaye fir bhi na mane to uska bistar alag kare fir bhi qaabu me na aaye to halki maar maare fir bhi qaabu me na aaye to dono khandan ke zimmedar milkar suleh ki koshish kare

Fir bhi jhagda khatm na ho to ek hee talaaq deni chahiye lekeen kisi ne fir bhi teen di to us ka asar zarur hoga ya'ani waqea ho jayegi.

Jaise ke hukoomat ka qanoon hai police walon ke liye ke ke koi jurm: gunah log kar rahe hon to usko rokne ke liye tear gas ke shale fode jaye ya paani ka mara chalaya jaye is se qabu me na aaye to laathi charge ki jaye is se bhi qabu me na aaye to pair per goli mari jaye fir bhi qabu me na aaye to fir sine me goli maar kar khatm kiya jaye.

Lekeen police is tarteeb per na chale aur kisi ko rokne ke liye dairect goli chala de to us ka asar hoga ke us se mujrim zarur marega.

zahar nahin khana chahiye lekin kisi ne kha liya to us ka asar hoga khanewala marega hee.

chhuri se fal (fruits) hi kaatna chahiye kisi insan ka galaa katne ki ijazat nahin fir bhi kisi ne kisi ke gale per chhuri chala dee to us ke asar se gala zarur katega.
yeh kaise ho sakte hai ke goli teen chalaye aur ek hi nikle

chakku ke ghaw teen maare aur zakham ek hi ho.
teen rupiye bole ya likhe jaye aur us ko ek hi samjha jaye

Aisi hazaron misale milegi jis se yeh sabit hota hai koi gair qanuni kaam nahin karna chahiye fir bhi kisi ne woh kaam kar diya to us ka wajood-paya jana to hoga hi.

Jab in dunyawi misalon per ishkal-aetaraz nahin to deenee ahkaam-masaail par kiyun aetraz hota hai !

Ma'alum huva ke deen se muhabbat ki kami hai aur Qur'an hadees par imaan kamzor ho chuka hai. lihaza imaan par mehnat kare.

و اللہ اعلم

📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat, Gujarat,india

📱💻http://www.aajkasawal.page.tl

📱💻http://www.aajkasawalgujarati.page.tl

📱💻http://www.aajkasawalhindi.page.tl

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...