*TALAQ AUR HALALE KA SABOOT QURAAN SE*
⭕AAJ KA SAWAL NO.978 ⭕
talaq aur halale ka suboot quran se nahi hai kya ye baat saheeh hai?
🔵 AAJ KA JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Ye baat bilkul galat hai jo aesa kehte hai woh alim nahi hote balke shareeat se jahil hote hai.Talaq aur halalah ka suboot quraan se hai jo niche likha jata hai.
Surah e baqarah ki Ayat no.229 me Allah taala farmate hai ke
“الطلاق مرتان فامساک بمعروف او تسریح باحسان”
not.brecat ke bahar tarjama aur brecet me matlab likha jata hai.
“Talaq do martabah ki hai fir”(Do martabah talaq dene ke baad do ikhtiyar hain)“Chahe Rujooa kar ke aorat ko qaidah ke mutabiq rakh le chahe”(Rujooa na kare,iddat puri hone de aur is tarah)“Achchhe tareeqah se us ko chhor de”(Surah e baqarah Ayat no.229)
Fir aage char 4 lakeer ke baad allah ne farmaya,
“فان طلقھا فلا تحل لہ من بعد حتی تنکح زوجا غیرہ۔فان طلقھا فلا جناح علیھما ان یتراجعا ان ظنا ان یقیما حدود اللہ۔”
“Fir agar (Do talaq ke ba'd)us aorat ko (tisree) talaq bhi dee to fir woh aurat (us tisree talaq) bad us shakhs ke liye halal na hogi jab tak ke woh us shohar ke siwa dosre shakhs ke sath”(iddat ke ba'd) nikah na kare (aur jabtak sohbat ke huqooqe zawjiyat ada na kare) fir agar us ko talaq de dusra shohar (aur us ki iddat guzar jaye) to un dono par us me koi gunah nahi ke dobarah aapas me nikah kar ke fir mil jaye basharte dono ko apne upar ye bharosa ho ke aayindah khuda ke qanoon ko qaim rakhenge.(Surah e baqarsh Ayat 230)
📗M'ARIFUL QURAN 1/554.TARJAMAH
HAKEEMUL UMMAT رحمت اللہ علیہ
*NOT*QURAN KI MASAIL WALI AYAT KO ACHCHHI TARAH SAMJH NE KE LIYE QURAN KA SIRF TARJAMA KAFI NAHI HAI BALKE HADEES SHAREEF KI ROSHNI ME US KA SAHEEH MATLAB SAMJHA JATA HAI ISLIYE KAL TALAQ KI HADEES KAL PESH KI JAYEGI ان شاء اللہ تعالی
و اللہ اعلم
📝 Mufti Imran Ismail Memon.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat, Gujarat,india
📱💻http://www.aajkasawal.page.tl
🌐Telegram.me/Aajkasawal
📱https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group
No comments:
Post a Comment