Thursday, April 27, 2017

BAY'AUL WAFA:HAVY DIPOSIT SE MAKAN LENI KI JAIZ SURAT

*BAY'AUL WAFA:HAVY DIPOSIT SE MAKAN LENI KI JAIZ SURAT*

⭕AAJ KA SAWAL NO.994⭕

Mere pas bivi ke 5 lakh rupiye hai aur mujhe makan chahiye kiraya bhar nahi sakta hun aur mere dost ko 5 lakh ki zaroorat hai aur 20 lakhwala makan 5 lakh udhar me bila kiraye dene taiyyar hai? aur aap ne aese na jaiz bataya tha to is ki koi jaiz surat ho to batane ki guzarish.is soodi shakal me bahot se log mubtlaa hai.

🔵 AAJ KA JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Aap apne dost ko kaho ke ye makan mujhe 5 lakh me zabani fula muddat tak bech do koi sarkari kagzat banane ki zaroorat nahi hai.jab muddat puri hogi to ye makan aap ko ان شاء اللہ تعالی wapas utni hi qeemat ne bechunga.ye baat hone ke baad alahidah ho jawo fir jab dusri bar mulaqat ho to dusri majlis-bethak me woh makan 5 lakh me khareed lo us waqt wapas dene ki shart karna saheeh nahi.balke is tarah muaamala-len den kare jaise aam len den hota hai. jab aap ko aap ka dost makan bech de.to fir us ke baad bataure itminana wapasi dene ka wa'dah likh do to koi haraj nahi ye likhna soda khatam hone ke baad hoga isliye ye muaamalaa saheeh ho jayega.

FATAWA MAHMOODIYAH 16/255, 257 DABHEL SE MAKHOOZ.
 
و اللہ اعلم

📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat, Gujarat,india

📱💻http://www.aajkasawal.page.tl

🌐Telegram.me/Aajkasawal

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...