*PHOTO DEKHA KAR MAAL BECHNA*
⭕AAJ KA SAWAL NO.976 ⭕
Tijarat me ye surat bahut aam ho chuki hai ke bade bade tajir jin ko wholesaler kaha jata hai khud ya kisi agent ke zariye retail me bechne wale ke pas rangin ya saada photo, image dekhne ke liye bhej dete hain aur us ki tafsilat bhi likh dete hain aur fir kharidar un ko dekhne ke baad order deta hai to sharan ye muaamalah jaiz hai ?
🔵 AAJ KA JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Han ye surat shar'an jaiz hai
albattah is surat me kharidne wale ko khiyare ruyat hasil hoga, yani order dee hui cheezen jab us ko mil jaye to dekhne ke baad kharidar ko ikhtiyar hoga chahe to tay ki hui puri qeemat me le le ya wapas kar de.
📘MUHAQAQA WA MUDALAL JADEED MASAIL SAFA 332
HAZRAT MUFTI JAFAR MILLI RAHMANI SAHAB KI
و اللہ اعلم
📝 Mufti Imran Ismail Memon.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat, Gujarat,india
📱💻http://www.aajkasawal.page.tl
🌐Telegram.me/Aajkasawal
📱https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group
No comments:
Post a Comment