*NIKAH KA ASAN TARIQAH*
⭕AAJ KA SAWAL NO.996⭕
Nikah ka kya tariqah hai jis me kon si cheez farz, wajib hai aur kon si nahi?
🔵 AAJ KA JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Nikah naam hai do aaqil, baalig koi bhi mard ya ek mard, do koi bhi Aurat in gawahon ki mavjoodgi me mard Aurat ke ijaab va qubool karne ka (ya'ani Aurat ya uska vakeel (bheje huwa kahe ke mene nikah kiya, ya nikah me diya aur mard kahe ke mene qabool kiya,) jis me kam se kam 31.gram chandi ki qeemat ka mahar wajib hai. uska bhi nikah ke waqt dena zaruri nahin hai balke behtar hai warna udhar bhi rakh sakte hain.
jisme Qaazi ka hona, khutbe aur walime ka hona, chhuware-kharek ka taksim karna sunnat hai farz ya wajib nahin. hanafiyyah ke nazdeek nikah itna aasan hai ke koi is tarah nikah kar le to zina-badkari me mubtala hone ki naubat hi na aaye.
📔 ISLAMI SHADI,
📗MAJMOOAE QAWANEENE ISLAM SE MAKHOOZ
و اللہ اعلم
📝 Mufti Imran Ismail Memon.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat, Gujarat,india
📱💻http://www.aajkasawal.page.tl
📱💻http://www.aajkasawalgujarati.page.tl
📱💻http://www.aajkasawalhindi.page.tl
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group
No comments:
Post a Comment