Thursday, April 13, 2017

3 TALAQ KA SUBOOT HADEES SE

*3 TALAQ KA SUBOOT HADEES SE*

⭕AAJ KA SAWAL NO.979 ⭕

Kiya tin talaq ka suboot hadees shareef me bhi milta hai?

🔵 AAJ KA JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما
Han tin talaq suboot saheeh hadees ki kitab NASAI me mavjood hai,Mahmood ibne labeed رحمت اللہ علیہ ne naqal kiya hai ke Rasoole karem صل اللہ علیہ وسلم ko ek admi ke bare me khabar di gayi jis ne apni bivi ko ek sath tin talaqen dee thi.Aap صل اللہ علیہ وسلم gussah ho kar khade ho gaye aur farmaya allah ki kitab ke sath khel kita jata hai halan ke me tumhare darmiyan mavjood hun! itne me ek admi khada ho gaya aur kehne laga ,ae allah ke rasool kiya me us ko qatal kar dun?
📔NASAI KITABUT TALAQ JILD 2 SAFA 980
Upar ki hadees se sabit hota hai ke tin talaq ek sath waqia ho jati hain agar waqia na hoti to huzoor صل اللہ علیہ وسلم itna gussa na farmate aur farma dete ke koi haraj nahi rujooa kar lo.
qazi abu bakr ibnul arabi ne is hadees ke mutalliq farmaya ke ...is shakhs ki bhi tin 3 talaq ko nafiz farma diya tha.
📘TAHZEEBE SUNANE ABI DAWOOD TAB'E MISR JILD 3 SAFA 129
*HADEES NO.2*
ek lambi hadees me hai ke ibne umar رضی اللہ عنہ ne apni bivi ko paki me talaq dene ke bajaye haiz-masik me ek talaq de di thi fir unhone rujooa kar liya tha woh farmate hai ke mene rasoolulah صل اللہ علیہ وسلم  se daryaft kiya ke,“ya rasulullah! agar mene tin talaqen de di hoti to kiya mere liye rujooa karna jaiz hota ?
huzoor صل اللہ علیہ وسلم ne farmaya,“nahi us surat me bivi tum se juda ho jati aur tumhara ye kaam (3 talaq ek sath dena) gunah hota“

📙DARE QUTNI JILD 2 SAFA 438.

isi wajha se ibne umar رضی اللہ عنہ 3 talaq ke pad jane ka fatwa diya karte the un ke fatwe ki hadees dekhiye bukhari me.

📗BUKHARI SHAREEF 2/92 AUR 803 BABU MAN AJAZ TALAQAS SALAS.

📕FATAWA RAHIMIYAH JADEED 6/335,336
و اللہ اعلم
📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat, Gujarat,india

📱💻http://www.aajkasawal.page.tl

📱Telegram.me/Aajkasawal

📱https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...