💸TALAQ SHUDA AURAT KI IDDAT&
IDDAT SE ZAYADA KHARCHA LENE KA HUKM
⭕AAJ KA SAWAL NO.529⭕
Mutallaqah ki iddat kitni hai aur iddat ke baad dusre nikah hone tak ya puree zindagi Ka kharcha court dilwaye to lena jaiz hai ya nahi?
🔵JAWAB🔵
Fatawa raheemiyah me hai: mutallaqah aorat iddat ke kharche ki haqdar hai.dusre nikah ya wafat tak ka nafqah talab karne ka haq nahi hai. Islami qanoon ke muqabalah me hukoomat -sarkari qanoon ko tarjeeh dena-us par pehle amal karna aur us ko pasand karna aur us ke mutabiq nafqah -kharcha hasil karna zulm aur haraam hai aur iman ko khatreh me dalna hai.
📗(fatawa raheemiyah 5/409)
Ek aur jagah likhte hain: mutallaqah aorat ke liye sharee hukm ye hai ke agar us ko haiz aata ho to teen haiz tak, haiz na aata ho to teen maheene tak, hamilah ho to hamal janne tak nano nafqah -kharcha diya jaye is ke alawah kharcha lena Qurani taalimat ke bilkul khilaf hai aur hudoodullah -shareeat ki boundary se aage nikal jana hai aur shohar par zulm wa zayadati Hai.
📘MAHMOODUL FATAWA 6/364 BAHAWALLA
📔FATAWA RAHEEMIYAH 5/417
✏IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
No comments:
Post a Comment