Roza kin cheezon se fasid ho jata hai? JAWABWo Cheeze Jinse Roza Faasid Ho jata hai woh niche likha gaya hain1- Kaan aur Naak me dawa dalna.2- Qasdan ( Jaan bujhkar) moonh bharkar qai-vomit karna ya moonh bharkar aane ke baad kuchh hissa qasdan-janbujhkar lota Lena. 3- Kulli karte huwe halaq me paani ka chala Jana,( us waqt Roza bhi yaad ho )4- Aurat ko chhoone aur bosa lene se inzaal ho Jana-mani nikal jana. 5- Lobaan ya agarbatti ka dhunwa qasdan naak ya halaq me pahunchana6- Bidi,sigarate,huqqah pina7- Bhoolkar kha pi liya aur khayal kiya k isse Roza toot gaya hoga, fir qasdan kha, pee liya8- Raat samajhkar subah sadiq ke baad Sahri kha Lena,suba9- Din Baqi tha magar galti se ye samjha k Aaftaab guroob ho gaya he,iftaar kar liya-kisi taqweem ya app me dekhkar waqt hote hi iftar kar liya baad me pata chala ghadi aage thi aur suraj guroob hone me 2 minute baqi thi.(akabireen ke mamool ke khilaf is se bilkultime par iftar karne ki baat karnewale ibrat le)10 - Koi esi cheez nigal Jana Jo Aadtan khayinahi jati,Jese lakdi, loha, kachcha gehu ka daana vagera11- baaf-stim-bhanp lena,12- mushtzani -hath se mani nikalna13- amah ke mareez ka inhilar-pamp istiamal karna.14- munh me paan-gutkha daba kar so jana yahan tak ke subah sadiq ho jaye.15- naksir fute aur naak ka khun halaq me chala jaye.16- dant-masoodon ka khun agar itna zayada ho ke woh thuk par galib aajaye yani thuk ko laal kar de ya thuk ke barabar-sarabar ho jaye aur woh thuk pet me chala jaye agar thuk me khun kam ho yani khun ka maza halaq me maloom na ho to roza fasid na hoga17- inama lena yani pet ki safai ke liye pichhe ke raste se dawai charhaana18- mard ki peshab ki nali me koi dawai dali jaye aur woh masaane tak pahonch jaye. Agar masane tak na pahonche to roza fasid nahi hoga19- aurat ka apni sharmgah me koi dawai dalna 20- aurat ki sharmgah me doctorni ka chekapke liye bhigahuwa ya dawai wala hath ya mashin dalna agar hath ya mashin par dawa na ho to roza fasid na hoga21- danton me gosht ka resha, supari wagairah ka tukda atka huwa tha aur use se munh se bahar nikale bagair zuban ya khila se nikalkar munh ke andar hi andar nigal liya ya khud bakhud halaq me chala gaya to dekhiagar woh cheez chane ki miqdar se zayada hai ya chane ke barabar hai to roza fasid ho gaya agar chane se kam hai to fasid nahi huwa agar munh se bahar nikala fir nigal gaya to har hal me roza fasid hoga chahe chane ke barabar ho ya us se bhi kam hoKitabul masail 2/ safa 85 se 91masaile roza safa 63,64
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
AETIKAF KE MAKRUHAAT
*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai? ๐ตJAWAB๐ต Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...
-
๐ *Ten disadvantages of playing cricket * ⭕Today's Question no. 652⭕ What is the ruling on watching and playing cricket? Does it cont...
-
*DISADVANTAGES OF FLYING KITES* ⭕Today's Question no. 1222⭕ What is the ruling regarding flying kites in accordance with Islam? ๐ต An...
-
15 SHABAAN KE KITNE ROZE RAKHNE HAI EK YA DO..?JAWAB15 WEE SHABAN KA EK ROZA RAKHNA MUSTAHAB HAI.AASHOORAH KI TARAH DO RAKHNE KA MASLAA IS M...
No comments:
Post a Comment