ROZE KE MAKROOHAT KIYA KIYA HAI ?JAWAB1. BILA UZAR KISI CHEEZ KA CHABANA. ALBATTA KISI AURAT KA SHOHAR BAD MIJAZ HO AUR KHANA KHARAB HONE PAR USKE GUSSE HONE KA ANDESHA HO TO USE NAMAK ZABAN KI NOK PAR RAKH KAR CHAKHANE KI IJAZAT HE.ISI TARAH AGAR CHHOTE BACHCHE KO ROTI CHABA KAR KHILANE KI ZARURAT HO AUR ROZEDAR AURAT KE ALAVA VAHAN US ZARURAT KA PURA KARNEVALA KOI NA HO TO VAH USE CHABA KAR DE SAKTI HE.LEKIN YE EHTIYAT HONA CHAHIYE KE AESA KARNE ME NAMAK YA ROTI KA KOI HISSA HALAQ KE NICHE NA UTARNE PAYE.VARNA ROZA JATA RAHE GA.BILA UZR CHAKHNA MAKROOH HAI2. ROZE KI HALAT ME TUTHPEST ISTIMAL KARNA.KOILA YA KOI MANJAN DANTO ME MALNA.3. AURAT KA IS TARAH HONT PAR SURKHI LIPSTIC LAGANA KE USKE PET ME CHALE JANEKA ANDESHA HO.4.ROZE KI HALAT ME BIVI SE DIL LAGI KARNA BHI MAKRUH HE.JABKE JIMAA-SOHBAT YA INZAL-MANI NIKALNE KA KHOF HO.5. ROZE ME HAR AESA KAAM KARNA MAKRUH HE JIS SE IS QADAR KAMZORI KA ANDESHA HO KE ROZA TORHNA PAREGA.6. NAK ME PANI CHARHANE AUR KULLI KARNE ME MUBALAG -HAD SE ZAYADATI KARNA.7. SAHARI ME ITNI TAKHEER KARNA KE WAQT ME SHAK PEDA HO JAYE.8. NAHANE KI HAJAT HO JANE PAR JANBUJHA KAR SUBAH SADIQ KE BAD TAK GUSAL ME TAKHEER KARNA.9. BEQARARI AUR GHABRAHAT ROZE KA BOJ HONA ZAHIR KARNA.10. MUH ME THOOK JAMA KARKE NIGALNA.WESE BILA JAMA KIYE NIGALNA MAKOOH NAHI11.ROZE KI HALAT ME KISI BHI QISAM KE GUNAH KA KAM KARNA CHAHE ZABAN SEHO YA DUSRE AAZAA SE HO.12. BIVI KA SHOHAR KI IJAZAT KE BAGAIR NAFL ROZA RAKHNA.HAN SHOHAR SAFAR, AEHRAAM ME YA BIMAR HO TO MAKROOH NAHI.?(KITABUL MASAIL 2/95 ?SAVME MAHMUD SAFA 30 31)
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
AETIKAF KE MAKRUHAAT
*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai? ๐ตJAWAB๐ต Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...
-
๐ *Ten disadvantages of playing cricket * ⭕Today's Question no. 652⭕ What is the ruling on watching and playing cricket? Does it cont...
-
*DISADVANTAGES OF FLYING KITES* ⭕Today's Question no. 1222⭕ What is the ruling regarding flying kites in accordance with Islam? ๐ต An...
-
15 SHABAAN KE KITNE ROZE RAKHNE HAI EK YA DO..?JAWAB15 WEE SHABAN KA EK ROZA RAKHNA MUSTAHAB HAI.AASHOORAH KI TARAH DO RAKHNE KA MASLAA IS M...
Roze m attar ya sar main tel daal sakte h???
ReplyDelete