Monday, December 28, 2015

EID MUBARAK KEHN

EID MUBARAK KEHNAaaj kal log eid ke mavqah par eid mubarak kehte hai is ka kya hukm hai is ka koi shareeat me suboot hai?JAWABLafze eid mubarak ko sunnat aur zarooree samjhe bagair in alfaaz se mubarak badi dene me koi haraj nahi.Mustahab ye hai ke niche ke lafzon se mubarak baadi dee jaye.Hazrat wasilah RADEEYALLAHU ANHU farmate hai ke mene nabie kareem SALALLAHU ALAIHI WASALLAM se eid ke din mulaqat ki hai aut mene kahaTAQABALLAHU MINNAA WA MINKallah hamare aur tumhare nek amal qabool farmaen.Nabi SALALLAHU ALAIHI WASALLAM ne irshad farmaya han zaroor TAQABALLAH MINNAA WA MINK(sunane bayhaqi lil kubraa hadees no.6088) allamah albaani Rahmatullahi alayhi ne is hadees ki tayeed ki haiAur sahibe hilyah ne aur muhaqeeq ibne ameerul haaj ne ne saheeh sandon ke sath bahot se asaare sahaba naqal kiye hai aur mubarak ke mavqeh par barkat ki duaa dena bhi sabit hai is se EID MUBARAK kehna jaiz hai(muhaqqaq wa mudalal jadeed masaail (mufti jaafar sahab rahmani ki) safa 101 ba hawala raddul muhtar alaa durril mukhtar 3/47 kitabus salat)khairul fatawa 3/124fatawa haqqaniyah 2/70

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  ๐Ÿ”ตJAWAB๐Ÿ”ต Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...