JANAZAH UTHANE KE WAQT KA AELAN KAR DIYA HO,MASALAN SUBAH 11 BAJE.AUR MAQAMI POORA MAJMAA AA GAYA HO LEKEEN BAHAR KE KHAS RESHTEDAR NA AAYE HO TO UN KE INTIZAR ME TAKHEER KARNA AUR UN RISHTEDARON KATAKHEER KARWANA KESA HAI?J A W A A BMASNOON TAREEQAH YE HAI KE MURDE KETAJHEEZO TAKFEEN (kafan dafan) MEI JALDI KI JAAYE, AUR DOOR SE KISI AANE WAALE KA INTIZAAR NA KIYA JAAYE, KE ISSE LOGON KO TAKLEEF HOTI HAI,AUR YE TAREEQAH BEHTAR BHI NAHI,AUR TAKLIF PAHONCHTI HO TO JAIZ BHI NAHI(MUQARAR WAQT KE BAAD RISHTEDARO KEINTEZAAR ME JITNE LOG PEHLE SE SHIRKAT KARNE KO AAYE HAI TAMAM KO TAKLIF HOGI,HAR SHAKHS APNE KAROBAR AUR RAHATOAARAM CHHODKAR AAYA HAI,UN TAMAM KO APNE KAMO ME KHALAL WAQEA HOGA,AUR MAIYYIT KI AAKHRI ZIYARAT KARNA AUR JANAZE ME SHIRKAT KARNA SHAR'AN ZARURI NAHI HAI.APNE ZAATI TAMANNA AUR SAWAB KE MUQABLE ME DUSRON KO TAKLIF NA PAHONCHE IS BAAT KO MUQADDAM RAKHNA CHAHIYE)EK TARAF HUZUR SALLALLAHU ALAYHI WASALLAM KA HUKM HAI:Isra'u Bihi ILaa Qabrihi {Mishkaat}Janaze me Jaldi karo(aur isme takheer na karo)AURRISHTEDARO KA HUKM HAI:"TAKHEER KARO"AB AAP KHUD FAISLA KIJIYE KE KIS KI BAATKO MAANNA CHAHIYE ?KIS KI AZMATAUR MUHABBAT AAP KE NAZDIK ZIYADA HAI ?)SAWAALO JAWAAB QUR'AANO HADEES KI ROSHNI MESahibzada Qaari A.Baasit Sb.-1/366 se MAAKHUZ.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
AETIKAF KE MAKRUHAAT
*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai? ๐ตJAWAB๐ต Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...
-
๐ *Ten disadvantages of playing cricket * ⭕Today's Question no. 652⭕ What is the ruling on watching and playing cricket? Does it cont...
-
*DISADVANTAGES OF FLYING KITES* ⭕Today's Question no. 1222⭕ What is the ruling regarding flying kites in accordance with Islam? ๐ต An...
-
15 SHABAAN KE KITNE ROZE RAKHNE HAI EK YA DO..?JAWAB15 WEE SHABAN KA EK ROZA RAKHNA MUSTAHAB HAI.AASHOORAH KI TARAH DO RAKHNE KA MASLAA IS M...
No comments:
Post a Comment