RAMZAN KA AAKHRI JUMA AIK GALATHADIS KI TARDIDAssalamu alaikum ww,Pichle kuch saalo se Jese hi Ramazan ka aakhri Jumuah aata hai social mediame aik galat aur juthi hadis badi tezi se chal padti hai jis ka khulasa ha ki"jis aadmi ki zindagi me bahut si namaze qaza huyi ho aur use uski tadad bhi na maalum ho to agar wo ramazan k aakhri jumuah ko 4 rakat qaza e umri ki niyat se parh le aur usmeye surah itni baar aur ye surat itni baar parhe to pichli qaza namazo ka kaffarah ho jayega......."Awwal to ye baat masail k aitibaar se bilkul durust nahi hai kyunki qaza namazo ko pura parhna aikdam zaruri hai, Niz is hadis k baare me Ulama e hadis k aqwaal bhi dekh le:قال الشيخ العلامة عبد الحي اللكنوي: "حديثمن قضى صلوات من الفرائض في آخر جمعة من رمضان كان ذلك جابراً لكل صلاة فائتة من عمرهإلى سبعين سنة. قال علي القاري في موضوعاته الصغرى والكبرى باطل قطعياً........(الآثار المرفوعة في الأخبار الموضوعة ص 85)Hazrat Allahma A.Hai luchnowi ra frmate hai ki Mulla Ali Qari Ra ne use aikdam batil aur juthi likha hai,وقال الشيخ الشوكاني: "حديث من صلىفي آخر جمعة من رمضان الخمس الصلوات المفروضة في اليوم الليلة قضت عنه ما أخل به من صلاة سنته.هذا: موضوع لا إشكال فيه ولم أجده في شيء من الكتب التي جمع مصنفوها فيها الأحاديث الموضوعة.........(الفوائد المجموعة ص 54)Allahma shawkani ra frmate hai ki ye hadis aikdam juthi hai jisme koi shak nahi,muje un kitabo me bhi nahi mili jisme mozu(juthi) ahaadis ko jama kia gaya hai Khulasa e kalam ye ki ye aikdam juthi hadis hai lihaza1. Aise hadiso ko social media me felane se bachna chahiye wrna Aap saw ki is riwayat ka hum bhi misdak ban jayenge ki(من كذب علي متعمداً فليتبوأ مقعده منالنار)رواه البخاري"jisne meri janib jaan buj ker juthi baat(hadis) mansub ki wo apna thikanajahannum me talash kr le"2. Deen ki koi bhi baat kisi moatabar aamile deen se puche bina social media me hargiz na felaye.Allah taala humse deen ki sahih samaj ata frmaye.Jazakallahu khairanBy(Shaikhul hadis) Hazrat Mufti Khalil Ahmed Kawiwala db
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
AETIKAF KE MAKRUHAAT
*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai? ๐ตJAWAB๐ต Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...
-
๐ *Ten disadvantages of playing cricket * ⭕Today's Question no. 652⭕ What is the ruling on watching and playing cricket? Does it cont...
-
*DISADVANTAGES OF FLYING KITES* ⭕Today's Question no. 1222⭕ What is the ruling regarding flying kites in accordance with Islam? ๐ต An...
-
15 SHABAAN KE KITNE ROZE RAKHNE HAI EK YA DO..?JAWAB15 WEE SHABAN KA EK ROZA RAKHNA MUSTAHAB HAI.AASHOORAH KI TARAH DO RAKHNE KA MASLAA IS M...
No comments:
Post a Comment