Tuesday, December 29, 2015

AAJ KAL TAIYYAR KAPDON AUR SAARI KI DUKAN ME JAANDAAR KE PUTLE RAKHE JATE HAI US KA KYA HUKM HAI..?

AAJ KAL TAIYYAR KAPDON AUR SAARI KI DUKAN ME JAANDAAR KE PUTLE RAKHE JATE HAI US KA KYA HUKM HAI..?1. AAJ KAL JANDAR PUTLE LAGAYE BAGAIRDHANDHA NAHEE HOTA ISLIYE ROZEE KI MAJBOOREE ME JAIZ…?2. PUTLE KI AANKH PAR PATTI BANDH DEE JAYE TO JAIZ…?3. AANKH AUR NAAK KO KISI TARAH BHI DHAANK DIYA JAYE TO JAIZ..?4. AESI CHEEZ DOOR KARNA ZAROOREE HAIJIS KE NA HONE SE INSAN ZINDA NA RAHE..?5. DONO AANKH SAPAT-PLAIN HO TO JAIZ.6. PUTLE KO IS ZAMANE KE BAAZ ULAMAA JAIZ KEHTE HAI KAFIRON KE MULK ME US PAR AMAL KARNA DUSRON SE COMPETITION/MUQABALA KARNE JAIZ…?JawabHaamidaw wa musalliyaSirf option number - 4 saheeh hai,Yanee aese uzv ko nikal diya jaye jis ke bagair insan zinda na rahe. Jaise sar kaat diya jaye ya poora chehra mita diya jaye.Sirf aankhon par patti bandh den kafi nahi hai, patti bandhne se bhi insan zinda rehta hai.Aankh aur naak ko mita dena bhi kafi nahi kiyun aankh aur naak kaat dene ke ba wajoodinsan zinda reh sakta hai. Dono aankhe sapaat plain karna bhi kafi nahi aankhe bilkul na hone se bhi jandar kee taareef-defination se nahi nikalta.Jandar ka putla haraam hona aesa masla hai jis par arab aur ajam-gair arab aur dewbandi barelvi sab ulamaa ke ittifaq hai, kisi ka ikhtilaf nahi.Rozee ka malik allah hai aur woh taqdeer me likhi hui hai us se zayada mil nahee sakti, masail quraan hadees se nikale jate hai is paramal karna puree dunya me zarooree hai, chahe islami hukoomat ya na ho.Hadees me aata hai ke jis ghar me tasweer ya kutta ho wahan rahmat ke fareeshte dakhilnahi hote.(bukharee)Jab rahmat ke fareeshte nahi aayenge to shaytani asaraat aate hai aur rozee kee barkat jati rehti hai.Lihaza un putlon ka ilaaj yahee hai ke un ka sar kaat diya jaye ya un ka pura chehra aankhnaak munh mita diya jaye.Putle ke chehre par kapda dalna bhi kafi nahee ye dhankna hai katna ya mitana nahi hai.(jawahirul fiqah 3/170,227..pure risale me is kee bahas hai)Tahtawee babu makruhatis salatImdadul fatawa 4/ 252)****************************************************

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  ๐Ÿ”ตJAWAB๐Ÿ”ต Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...