Monday, December 28, 2015

JANAZEH KE AAGE CHALNA BEHTAR HAI YA PICHHE?

JANAZEH KE AAGE CHALNA BEHTAR HAI YA PICHHE?JAWABHAZRAT BARAA BIN AAZIB RAZIYALAHU ANHU SE RIWAAYAT HAI KE RASOOLULLAHI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM NE HUME JANAAZAH KE PICHHE CHALNE KA HUKM DIYA HAI   [BUKHARI]IS SE SAABIT HOTA HAI KE JANAAZAH MAT'BOOA ( IMAM KI TARAH) HAI AUR LOG TAABEA(MUQTADEE KI TARAH) HAIN LIHAZA JANAZAH AAGE RAKHNA AUR LOGON KAPICHHE CHALNA AFZAL AUR MUSTAHABHAI.JANAZAH AAGE AUR SAAMNE RAHNE MAI IBRAT AUR NASEEHAT MAUT KI YAD BHI HAI.JANAZAH KE AAGE RAHNA BHI JAAIZ HAI MAGAR BEHTAR NAHI, KANDHA DENEKE LIYE KUCH LOGUN KA JANAZAH KE AAGE RAHNA BHI JAAIZ HAI.SAB KA AAGE CHALNA AUR JANAZAH KOPICHHE CHHOD DENA MAKROOH HAI(JAISE KE AAJ KAL BAHUT JAGA HO RAHA HAI)KANDHA DENE KE LIYE LOG LAMBI QATAAR BANDHTE HAI AUR JANAZAH KO PICHHE CHHOD DETE HAI YAH GALAT TAREEQAH HAI.JANAZEH KO KANDHA DENE KE LIYE KUCHH LOG JANAZE KE AAGE QAREEB ME HONA(DOOR DOOR TAK NA HON) AURAKSAR LOGPICHHE HON AAGEWALE KANDHA DEKAR PICHHE HAT JAWE(WAPAS AAGE NA JAYEN) JIS SE PICHHEWALON KO KANDHA DENE KA MAUQA AASANI SE MIL JAYE AESA TAREEQAH IKHTIYAR KIYA JAYE.FATAAWA RAHIMIYAH JADEED 7/124 BA HAWALA DURRE MUKHTAR MAASH SHAMI1/834ALAMGIRI 1/104BAHRUR RAEEQ 1/192)ALLAH TAMAM PADHNEWALON KO MAUT KE BAAD KI ZINDAGI KI TAIYTARI KI TAUFEEQ ATA KARE.

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  ๐Ÿ”ตJAWAB๐Ÿ”ต Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...