ZAKAT KIN KIN LOGON KO DE SAKTE HAI ?JAWABHar woh shakhs jo asli zaroorat yani istiamal ki cheezon aur qarzah ho to Ada karne ke baad sadi bawan tola 612.35 gram chandi ki qeemat ke kisi bhi qism ke maal ka malik na ho.to woh zakat le sakta hai.agarche tandurast ho aur kamata bhi ho.Agar kisi ke paas zaroorat se zaid maal yani 3jodi se zaid kapre,do jodi se zaid chappal, show cash ke bartan ho,tv, Na Jaiz khel ki cheezen, zaroorat se zaid plot wagair istiamalme na aanewaki cheezen ho in me se ek ya baz cheezon ki qeemat sadi bavan tola 612.55 gram chandi ko pahonch jaye to ye shakhs zakat nahi le sakta.agarche be rozgar ho,aesi awrat bewa ho.Niche likhe huwe hazrat ko zakat de sakte hai. 1. haqeqee, maa sharik, bap sharik, dudh sharik bhai-bahan aur in ki awlad 2. apne chacha, fufi aur in ki awlad3. apne mamu, khala aur in ki awlad4. apne sotele maa bap aur un ki awlad5. apne khusar-sasre, saas Aur un ki awlad6. maldar awlad ke walidain jo ke mustahiqe zakat ho7. maldar ki balig awlad jo ke mustahiqe zakat ho 8. maldar ki bivi jo ke mustahiqe zakat ho9. maldar bivi ka shohar jo ke mustahiqe zakat ho 10. apne damad, bahu 11. shagird ka ustaz ko aur ustaz ka shagird ko12. shohar apni bivi ki aesi awlad ko dena jo Us ke agle shohar se ho 13. bivi ka apne shohar ki aesi awlad ko dena jo Us ki pehli bivi Se ho14, musafir ko jab ke safar me us ke paas maal na ho (is zamane me atm ka card aur usse nikalne ki qudrat na ho) agarche Us ke pasghar par nisab ke baqadr mal ho.15. na balig muhtaj jab ke us ka baap sahibe nisab na ho lekeen maa sahibe nisab ho17. kisi ki 10,000 (das hazar) ki amdani hai lekeen kharch 12,000 (barah hazar) ka hai agarche zati makan aur gadi bhi ho18. jis shakhs ki amdani kafi hai lekeen maqrooz ho, qarz kisi tarah Ada na kar sakta ho.?ye tamam hazrat mustahiqe zakat ho to in ko zakat di ja sakti hai aur un ko ye bhi batlana zarooree nahi ke ye zakat hai. dil me niyyat karna Kafi hai.?ahsanul fatawa 4/254?masaile zakat (rafat) safa 284,285
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
AETIKAF KE MAKRUHAAT
*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai? ๐ตJAWAB๐ต Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...
-
๐ *Ten disadvantages of playing cricket * ⭕Today's Question no. 652⭕ What is the ruling on watching and playing cricket? Does it cont...
-
*DISADVANTAGES OF FLYING KITES* ⭕Today's Question no. 1222⭕ What is the ruling regarding flying kites in accordance with Islam? ๐ต An...
-
15 SHABAAN KE KITNE ROZE RAKHNE HAI EK YA DO..?JAWAB15 WEE SHABAN KA EK ROZA RAKHNA MUSTAHAB HAI.AASHOORAH KI TARAH DO RAKHNE KA MASLAA IS M...
No comments:
Post a Comment