Monday, December 28, 2015

Shaaban ke maheene me 14 shaaban ki ibadat aur dusre din ke roze ke alawaa aur kon kon se kaam karne chahiye

Shaaban ke maheene me 14 shaaban ki ibadat aur dusre din ke roze ke alawaa aur kon kon se kaam karne chahiye?JAWABHazrat anas ibne malik RADEEYALLAHU ANHU se riwayat hai ke huzoor SALALLAHU ALAIHI WASALLAM ke buzrug sahaba shaaban ka chand dekhkar1.quraane kareem zayada parhte the.2.apne maal ki zakat nikalte the take gareeb aur miskeen log faidah uthaa saken aur ramazanul mubarak ke roze rakhne ke liye unka koi zareeah ban jaye.3.haakim log qediyon ko bolakar un me jo saza ke laiq hote the un par saza jaree karte the aur baqee qedi rihaa kar diye jate the.4.karobaree log isee maheene me apna qarzaa adaa kiya karte the.5.dusron se jo kuchh wusool karna hota tha wusool kar liya karte the (jese gair muslim ki dekha dekhi baaz musalman in kaamon ko diwali me karte hai)6.ramzan ka chand nazar aane par log gusal karte aur aetikaaf me beth jate the.?masaile shabe baraat wa shabe qadr safa 14?bahawala gunyatut talibeen 356.✏IMRAN ISMAIL MEMON GUFIRA LAHOOMUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIASHABE BARAAT ME MAGFIRAT SE MAHROOMEEN KI LIST.⭕AAJ KA SAWAL NO.449⭕Shabe baraat me qabilah e banu qalb (jin ke paas bahot zayada bakariyan thi) ki bakariyonke balon ki taadad Me logon ki magfirat hoti hai (abajon logon ki) in magfirate aammah semahroom kon kon rahenge? Batlaiye taa ke ham khud us gunaah se bache Aur logon ko bachaye.?aaj ka jawab?1.shirk karnewala,2.keena (kapat,dili dushmani) rakhnewala,3.walidain ka naa farman4.zina karnewala5.sharab pinewala6.kaahin (jayotish-gaib ki khabaren batlanewala)7.rishtaa tornewala8.kapda yani izar, patloon takhnon ke niche latkanewala.?masaile shabe qadr wa shabe baraat safa 45✏IMRAN ISMAIL MEMON GUFIRA LAHOOMUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  ๐Ÿ”ตJAWAB๐Ÿ”ต Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...