Monday, December 28, 2015

Jo log hajj me jate hen un per baqraid wali maldari ki qurbani wajib he ya nahi.. ?

Jo log hajj me jate hen un per baqraid wali maldari ki qurbani wajib he ya nahi.. ??JawabBaqra eid wali qurbani maaldaar musafir per wajib nahi hoti, balke apne gahr per ho ya kahi 15 din ya us se zyada thehre to qurbani wajib hogi, Agar hajji hajj ke dino ko milakar 15 dinmakka me theherne wala he to agar womaaldaar he to us per baqraid wali qurbani wajib hogi, chahe waha kare chahe apne ghar per karwale(Hajj wali qurbani alag he, us ka masala alag he. )(Jo hazraat hajje tamattu ya qiran kartehen un per hajj ki qurbani to wajib he hi our agar wo maaldaar our muqeem hento un per baqraid ki qurbani bhi wajib hogi.. )Our agar 15 din nahi theherna to wo musafir hoga us per baqraid wali qurbani wajib nahi.. Note.. jadid zamane ke aetebar se aksar muftiyane kiraam ki raay ke mutabiq mina, muzdlifa ab makka ke hudud me dakhil hen, lihaza un dino ko milakar 15 din hojayenge to wo muqeem kehlayega our maldari ki qurbani wajib hogi.. (Kitabul masail, mahmudul fatawa, fiqhiseminar ka fesla bhi isi per he..)M Ibrahim alyani

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  ๐Ÿ”ตJAWAB๐Ÿ”ต Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...