Monday, December 28, 2015

Masnoon aitikaf ke liye roza shart hai

Masnoon aitikaf ke liye roza shart hai?Bimarpursi karne nikal sakte hai?Niyyat kese kare?kiya masnoon aitikaf toot jaye to kitni din ki qaza karni padegi? Aur chadare(pardah) lagana zarooree hai?JAWAB★Aitkaaf ke liye Roza shart he, khuda na khasta agar roza Toot jaye to Aitkaaf masnoon bhi jata raha,★Motakif ko kisi ki bimaar pursi ki niyat se masjid se nikalna durust nahi,⇨haa! Agar apni tibbi Zaroorat ( bimaari) ke liye bahar gaya to chalte chalte mijaaz pursi bhi karli to durust he,★Ramzan ke Aakhri ashre ka Aitkaaf to masnoon he , wese mustahab ye he k jab bhi Aadmi masjid me jaye to Aitkaaf ki niyat kar le, chahe kitni hi der ke liye jaye,★Aitkaaf ki niyat dil me kar lena kaafi he, agar zaban se bhi keh le to behtar he,★Motakif poori masjid me jaha chahe waha so ya beth sakta he,★Aitkaaf me chadar (pardah) lagana zaroori nahi,★Bila uzr Aitkaaf todne wala azeem doalat se mehroom raha,★Har Din ka Aitkaaf ek mustakil ibaadat he, isliye jis din ka Aitkaaf toota he sirf usi ek din ki qaza laazim he, bahut se akaabir ne ise Ikhtyar kiya he,Aapke Masail aur Unka Hal,3/323

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  ๐Ÿ”ตJAWAB๐Ÿ”ต Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...