Tuesday, December 29, 2015

READYMADE KI DUKAN PAR JANDAR KE PUTLE

READYMADE KI DUKAN PAR JANDAR KE PUTLESAWALaaj kal taiyyar kapdon aur sadiyon kee dukan me jandar ke putle rakhe jate haius me se jo surat jaiz ho us ke samne aur jo surat na jaiz ho us ke samne ka nishan lagaye to behtar ya jis tarah bhi ho sake jawab den.1.aaj kal jandar putle lagaye bagair dhandha nahee hota isliye rozee ki majbooree me jaiz.2.putle ki aankh par patti bandh dee jaye to jaiz.3.aankh aur naak ko kisi tarah bhi dhank diya jaye to jaiz4.aesi cheez door karna zarooree hai jis ke na hone se insan zinda na rahe5.dono aankh sapat-plen ho to jaiz.6.putle ko is zamane ke baaz ulamaa jaiz kehte hai kafiron ke mulk me us paramal karna dusron se computesan muqabala karne jaiz.JAWABhaamidaw wa musalliyasirf 4 saheeh hai yanee aese uzv ko nikal diyajaye jis ke bagair insan zinda na rahe.jaise sar kaat diya jaye ya poora chehra mita diya jaye.sirf aankhon par patti bandh den kafi na hai patti bandhne se bhi insan zinda rehta hai.aankh aur naak ko mita dena bhi kafi nahi kiyun aankh aur naak kaat dene ke ba wajoodinsan zinda reh sakta hai.dono aankhe sapat plen karna bhi kafi nahi aankhe bilkul na honese bhi jandar kee taareef-definase se nahi nikalta.jandar ka putla haraam hona aesa masla hai jis par arab aur ajam-gair arab aur dewbandi barelvi sab ulamaa ke ittifaq hai kisi ka ikhtilaf nahi.rozee ka malik allah hai aur woh taqdeer me likhi hui hai us se zayada mil nahee sakti masail quraan hadees se nikale jate hai is paramal karna puree dunya me zarooree hai.chahe islami hukoomat na ho.hadees me aata hai ke jis ghar me tasweer yakutta ho wahan rahmat ke fareeshte dakhil nahi hote.(bukharee)jab rahmat ke fareeshte nahi aayenge to shaytani asaraat aate hai aur rozee kee barkat jati rehti hai.lihaza un putlon ka ilaaj yahee hai ke un ka sar kaat diya jaye ya un ka pura chehra aankhnaak munh mita diya jaye.hai aese putle khareede jis ka sar hee na ho ya naak tak ka sar hi na ho.( jawahirul fiqah 3/170,227..Se makhooz pure risale me is kee bahas hai)tahtawee babu makruhatis salatimdadul fatawa 4/ 252 Se makhooz)koi Aeatarazo ishkal ho to contac karefrom imran ismail memon 96873 41413ye sms aese putle rakhnewalon ko pahonchane ki guzarish.

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  ๐Ÿ”ตJAWAB๐Ÿ”ต Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...