aetikaf jis masjid me kiya ho wahan jumaa nahota ho to jumaa parhne ke bare me kiya masail hai aur iatikaf me kin cheezon se bachna chahiye?JAWAB★jis masjid me muatkif he agar waha juma ki namaz nahi hoti ho to namaze jumaa ke liye ja’ama masjid yani jahan jumaa hoti ho wahan Jana bhi durust he, magar ese waqt me jaye k waha jaakar Tahiytul masjid aur sunnat padh sake, aur namaze jumah se farighokar fauran apni masjid me wapas aa jaye,★Agar bhoole se bhi apni masjid se nikal gaya to bhi aitkaaf toot gaya,★Aitkaaf me be-zaroorat duniyavi kaamo memashgool hona makroohe tahreemee he, maslan be-zaroorat kharid farokht karna, ( Agar gareeb aadmi he k ghar me khane ko kuchh nahi to us ke intizam me aitkaaf me bhi khareed farokht kar sakta he), magar bechne ka samaan masjid me lana jaa’iz nahi,★Haalate Aitkaaf me bilkul chup bethna durust nahi,, Haa agar zikr, tilawat vagera karte karte thak jaye to araam ki niyat se chupbethna saheeh he,★Ramzan Mubarak ke 10 din aitkaaf karne ke liye zarooree he k 20 vi islami tareekh ko suraj guroob hone se pahle masjid me aitkaaf ki niyyat se dakhil ho jaye kyuki 20 vi tareekh ka suraj guroob hote hi Aakhri ashra shuru ho jata he,⇨agar suraj guroob hone ke baad chand lamhe bhi aitkaaf ki niyat ke bager guzar gaye to aitkaaf masnoon na hoga balke nafali iatikaf ho jayega[Aapke Masail aur Unka Hal,3/322]
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
AETIKAF KE MAKRUHAAT
*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai? ๐ตJAWAB๐ต Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...
-
๐ *Ten disadvantages of playing cricket * ⭕Today's Question no. 652⭕ What is the ruling on watching and playing cricket? Does it cont...
-
*DISADVANTAGES OF FLYING KITES* ⭕Today's Question no. 1222⭕ What is the ruling regarding flying kites in accordance with Islam? ๐ต An...
-
15 SHABAAN KE KITNE ROZE RAKHNE HAI EK YA DO..?JAWAB15 WEE SHABAN KA EK ROZA RAKHNA MUSTAHAB HAI.AASHOORAH KI TARAH DO RAKHNE KA MASLAA IS M...
No comments:
Post a Comment