Monday, December 28, 2015

kon kon se qarzon ko zakat ke nisab se minus (baad) kiya jayega aur kon kon se qarzon ko mainus (baad) nahi kiya jayega.?

kon kon se qarzon ko zakat ke nisab se minus (baad) kiya jayega aur kon kon se qarzon ko mainus (baad) nahi kiya jayega.?JawabHar woh qarz jis ka mutalaba bandon ki taraf se ho us ko baad kiya jayega yani in qarzon par zakat wajib nahi jaise 1. Naqad rupiye ka qarza 2. Khareede huwe saaman ka qarza 3. Kisi se saaman-gadi ka nuqsan kiya ho us ka jurmana-penalty4. Kisi ka jani nuqsan kiya ya zakhmi kiya ho us ka jurmana- penalty5. Guzishta sal ki zakat nikalna baqi ho to us ki raqam. 6.Bivi ne khulaa-shohar ko pese dene ka wada kar ke talaq li ho us ka qarzahar woh dain (debts) jiska ka mutalaba huqooqullah ki taraf se ho us ko minus [baad]nahi kiya jayega balke us ki raqam jama ki ho to saal pura hone ke waqt us par bhi zakat wajib hogi jaise.1. Qasam, roze todne ke kaffarah ki raqam2 .mannat-nazar ko pura karni ki raqam 3. Sadqah e fitr ada karna baqi ho us ki raqam 5. Haj umrah ke liye pese jama kiye ho us ka rupiya 6. Aayindah naya makan, nayi dukan lena ka iradah ho us ki jama ki hui raqam 7. Shadi karne ya jahez dene ke liye jama ki hui raqamkitabul masail 3/146,147 se makhooz

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  ๐Ÿ”ตJAWAB๐Ÿ”ต Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...