Tuesday, December 29, 2015

GADEE NAQAD LE TO60 000 AUR UDHAR HAFTE SE BANK KE ZARIYE LE TO72 000 IS TARAH GADEE LENE KA KIYA HUKM HAI?

GADEE NAQAD LE TO60 000 AUR UDHAR HAFTE SE BANK KE ZARIYE LE TO72 000 IS TARAH GADEE LENE KA KIYA HUKM HAI?1. MAKROOH2. HARAAM3. SIRF BANK SE HEE POORA MUAAMALA KARE TO JAIZ4. SIRF COMPANY WALE SE HEE POORA MUAAMALA KARE TO JAIZ.JawabGadi khareed kee hasbe zail teen sooraten hain.1. Agar dealer ya dealer ka financer gadee bechne wala hai, chahe naqad beche ya udhar qiston- hafton par. Aur sara muaamala dealer ya us ke financer hee se horaha hai andar me bank ka koi dakhal nahi. To udhar khareedne ke waqt us kee naqad kemuqable kitnee zayadah qeemat denee hai aur kitne maheeno me denee hai ye baat saafkar dee jaye aur hafton se paise ya cheque dealer hee ko diye jaye to ye muaamala jaiz hai.2. Agar bechne wala bank ya finacer ho aur gadee kee chabee aur qabazah bhi usee se liya jaye aur bank ke naam se cheque diye jaye, company ka bich me koi wastah na ho to ye surat bhi jaiz hai.3. Agar bechne wala dealer hai aur bank khareedne wale ki taraf se dealer ko abhi pooree qeemat adaa kar deta hai. Aur fir aayindah qiston- hafton kee shakal me apni adaa kee hui raqam kuchh zaid miqdar ke sath khareedne wale se wusool karta haiye zaid miqdar sood kehlati haiisliye shareeat me ye muamala durust nahee.(mahmoodul fatawa 3/50 murshidee hazrat aqdas mufti ahmad khanpooree d. B. Kee)**************************************************

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  ๐Ÿ”ตJAWAB๐Ÿ”ต Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...