Monday, December 28, 2015

Fitna Kitna

FITRA KITNA?SAWALFitra kitna aur kyaa de ?JAWABSadkqa e fitr me har qism ka galla (anaaj) aurqeemat dena jaiz hai,Uski tafsil ye haiAgar gehun ya uska aataa de to har aadmi ka pone do kilo (1 kilo 750 gram) dena chahiye,Agar gehun ke alawa aur koi galla (anaaj) maslan chaval, baajra, javaar, wagerah de to pone do kilo gehun ki qeemat ya saade teen kilo (3 kilo 500 gram) jav ki qeemat me jitna wo galla aataa ho itna galla dena chahiye,Aur agar qeemat de to pone do kilo gehun ya saade teen kilo jav ki keemat deni chahiye,➡(Aaj ke hisaab se 50 rupiye adaa karne honge)Sab se behtar fitra ye hai ke, aaj kal chhuarah (kharek) ya kismis (sukhi darakh) ki keemat aur wazan ka nisaab ziyada hai, lihaza saade teen kilo kharek ya darakh ki keemat behtar hai,Hadis me hai keALLAH TUMHE ZIYADA DE TO TUM BHI ZIYADA DO.✳COMAN FITRA GEHUN KI QEEMAT RS 50 [year 2015]✳SUPER FITRA KHAJOOR KI QEEMAT RS 260[year 2015]✳HIGH-FI FITRA KISHMISH KI QEEMAT RS 1260 [year 2015]Masaile roza 416, ba hawala ilmul fiqah 4/53

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  ๐Ÿ”ตJAWAB๐Ÿ”ต Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...