Monday, December 28, 2015

Wo Cheezen Jinse Roza nahi Tootta aur Na hi Makrooh hota Hai kon kon see hain

Wo Cheezen Jinse Roza nahi Tootta aur Na hi Makrooh hota Hai kon kon see hain? JAWAB1- taza Miswaak karna 2- Sar ya Munchho per Tel lagana3- injection ya teeka lagwana, 4- Aankh me Dava daalna ya Surma lagana5- Khushbu lagana,6- Garmi aur Pyas ki Vajah se Gusl karna Agarche pani ki thandk jism ke andar mahsoos ho7- Bhool kar Khaa pi lena ya bhool kar sohbat karna8- Halaq me bila akhtyar Dhunwa ya makkhi, machhar ka chala Jana,9- Khud ba Khud qai (vomiting) ho Jana chahe kitni hee ho 10 - Sote hue ahatlaam ho Jana11- Daanto me khoon aaye magar halaq me na jaye12. dakaar aana jis ki wajha se khane ka maza halaq me mahsoos hona13. Phool ya itr ki khushbu sunghna14. bhiga huwa rumal sar par lapetna15. bimari ki wajha se gulucoz, blud chadhana16. oxizon lena17. naak-rint zor se sidakna-khichna jis ki wajha se halaq me chali jaye18. raal tapakne ko ho to use munh me khinch lena 19. thuk, balgam nigalna20. paan khane ke baad kulli aur gargarah kiya lekeen us ki surkhi-lalash munh me baqi rah gai jis ka asar thuk ke sath halaq me jana21. bila ikhtitar khud ba khud traffic, khane, loban ya dawai ke chhantkaw ka dhunwa halaq ya naak me jana22. kulli karne ke bad pani ka asar-tari ka halaq me jana23. baam ya cream lagana24. badnigahi ya badkhyali ki wajha se mazi ka nikalna25. kamzor admi ka bv ko buri nazar se dekhne ya bv se sohbat ke tasawwur ki wajhase inzal-mani ka nikal jana. Agar gair mahram,nangi tasweer ya film dekhne se inzal ho to is gunah se roza makrooh hoga26. bv ko bosa lena27. miswak karna jis ka maza bhi zuban par mahsoos ho28. zere naaf ya bagal ke baal katna28. heart ki bimari me zaban ke niche goli rakhna basharte ke us ka dawai ke ajazaa luaab-thuk ke sath halaq me na jaye.29. khun test karana30. dayalisis karana 31. janabat ki halat me sahri karna aur subsh sadiq ke baad gusl karna32. nahate huwe, barish me bhigte huwe ya terte huwe bila ikhtiyar paani kan me chala jana33 . kaan se mail nikalna chahe us ke liye salaai kitni hi martaba kaan me dalni pade34. gardo gubaar-dhul mitti ka bila ikhtiyar halaq ya naak me dakhil ho jaye35 .pichhe ke raste me masse par ya zakhampar dawai lagana36. sahri ka waqt khatm hone aelan ya roze ke time tebal ke waqt bad bhi khate raha lekeen subah sadiq se pehle ruk gaya lekeen aesa nahi karna chahiye is me roza fasid hone ka khatrah haikitabul masail 2/safa 77 se 84 ka khulasa masaile roza (rafat) 59 se 70 ka khulasa

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  ๐Ÿ”ตJAWAB๐Ÿ”ต Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...