Monday, December 28, 2015

Miswak Sunnate Muakkadah hai

⚫MISWAK SUNNATE MUAKKADAH HAI

⭕AAJ KA SAWAL NO.569⭕

🔶koi admi miswak na kare to kesa hai?

🔵JAWAB🔵

🔖miswak karna sunnate muakkadah hai yani wajib ke qareeb.koi shakhs bila uzr miswak na karne ki aadat bana le to gunehgar aur qiyamat ke din dant dapat kiye jane ka mustahiq hai

🔖 huzoor salallahu alayhi wasallam ki shafaat se mahroom hoga
MISWAK KI FARZIYAT KA EHTEMAL:-
Pyare nabi ﷺ ne farmaya, "Miswak kiya karo kyunke miswak muhki paki or haq ta'ala ki khushnudi he.

🔖Jibrail alayhisallam muje miswak ki vasiyyat karte rahe yaha tak ke muje khof huva ke kahi muj par or meri ummat par farz na ho jaye.
agar muje meri ummat par dushvari (mashakkat) ka khof na hota to me me un par miswak farz kar deta. or me is qadar kasrat se miswak karta hu ke muje apne muhke agle hisse ke chhil jane ka khof he"

📙(Ibnemajah).
MISWAK NA KARNE PAR VAEED:-

💟Kashful gumm me allama sharani ne likha he ke jo shakhs miswak se earaz (betavajjuhi) or beragbati kare  (shoq na rakhe woh ham me se nahi.

📗(Bahrur raaiq 1/21 aur fazaile miswak se makhooz)
✏ LIKHWAYA IMRAN ISMAIL MEMON SURAT
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Humre Sabhi Sawal jawab Aur Bhi baht kuch Message pane Ke liyA Islamic GrouP Application download Kre.. 👇🏿

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...