mas'ala no 51 masaile qurbaniSawal..Qurbani ka gosht bech sakte hen???Jawab.. Qurbani ka gosht bechna jaaiz nahi, Khaale, taqseem karde,Agar gosht itna zyada ho ke zaaye hone kharab hone ka khatra ho to gosht bechkar us ki qimat garibo ko de sakte hen.. (Mustafad kitabul masail 2/250)Mas'ala no 52Sawal..Qurbani ki khal apne kaam me laa sakte hen, khud rakg sakte hen, ??Jawab.. G haa, Qurbani ki khal apne istemal mela sakte hen,Agar bechden to phir is ki qimat garib ko dena lazim hoti he.. (Kitabul masail 2/250)M ibrahim alyanimas'ala no 49 masaile qurbaniSawal.. Qurbani ke janwar ki khal masjid, madrase me de sakte hen.. ?Jawab.. Janwar ki khal jab tak beche nahi tab tak wo gosht ki tarah he our usi ke hukm he, yani aap jis taragmh gosht kisi ko bhi de sakte hen usi tarah khal bhi de sakte hen... (phir jis ko khal dedi wo chahe to bech sakta he)Albatta agar paiso se bechden to phir wo zakat ki tarah hojati he.. yani ab us ko garib mustahiq logo ko malik bana kar dena zaruri he.. Masjid me khal nahi de sakte q ke us me koi malik nahi banraha he,Our madrase me dena jaaiz balke afzal he, qke wo khal bechkar us ke paise madrase me padhne wale bacho per kharch kiye jate hen (jis ka sawab aap ko bhi milega)Isi tarah dusri koi tanzim, jamaat ko dene ka yahi huk he ke agar wo bech kar garibo ko paise malki bana kar detehen to un ko de sakte he. Warna nahi..(Mustafad az, aap ke masail our un ka hal 5/466)mas'ala no 50Sawal.. Imam sb our muazzin sb ko khal de sakte hen.. ?Jawab.. Imam, muazzin, wagera hazraat ko un ki tankhah me khal nahi de sakte, Un ki tankhah our ujrat alag se he aese hi khushi se de rahe hen to de sakte hen.. (our wo hazraat bechke us ke paise istemal karsakte hen)(Mustafaz az aap ke masail our un ka hal 5/466)M Ibrahim AlyaniBAAL & NAKHUN KAATNE KA HUKMSAWALZIL HIJJAH KE CHAND HONE KE BAAD BAAL AUR NAKHOON KAATNA KESA HAI? IS KI KIYAA MASLIHAT WA HIKMAT HAI?JAWABZIL HIJJAH KE CHAND HONE KE BAAD JIS KE ZIMME QURBAANI HO USE BAAL AUR NAAKHOON EID KI NAMAAZAUR US KI QURBAANI HONE TAK NA KAATNA MUSTAHAB HAI.TAAKE QURBAANI KA JANWAR US KE HAR HAR JUZ-HISSAH KA BADAL AUR FIDYAH HO JAYE AUR ALLAH TAALA KI RAHMAT SE US ADMI KE JISM KA KOI HISSAH MAHROOM NA RAHE JIN LOGON KE ZIMME QURBAANI NAHI WOH BHI QURBAANI KARNEWALON KI AUR HAJ KE HAJJYON KI MUSHAABAHAT IKHTIYAAR KARENGE TO WOH BHI INSHAA ALLAH RAHMAT SE MAHROOM NA RAHENGE LEKEEN KOI APNE BAAL AUR NAKHOON KATEGA TO NA GUNEGAAR HOGA NA QURBAANI ME KOI KHARAABI AAYEGI IS PAR WAJIB KI TARAH AMAL KARNA AUR AESA NA KARNE WALON KO TOKNA SAHEEH NAHI JO CHEEZ JIS DARJE ME SABIT HO US KO USEE DARJE ME RAKHNA CHAHIYE.MIRQAATUL MAFAATEEH 3/306MASAAILE QURBAANI , ISLAAHEE KHUTBAAT SE MAKHOOZIMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOOMUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURASURAT GUJRAT INDIAQURBANI KIS PAR WAJIB?Har musalman aqil balig mard wa auratjis ke paas qurbani ke din 10,11,12, zil hajjah me nisaab ke baqadr ka maalikho qurbani wajib hai.Nisaab: 52.5 (saade bavan tola), 612 gram 35 mili gram chaandi (silver)ya uski aaj 7/9/2015 ko us ki qeemat 20600 rs.ka koi bhi maal,saaman qarzaho to ada karne ke baad bachta hoYa thoda thoda sona, chaandi, cash rupiye, zarurat se ziyada saaman, tijarataur gaire tijarat ka maal.... in chizon mese kisi bhi do chiz ko milaya jaye to uski qeemat saade baavan tola chaandiya 20600 rs.ko pahuch jaye tab bhi qurbani wajib hai.Maslan kisi ke paas 1 tola sona hai ahr 50 rs. Cash hai to in dono ki qeemat 52.5 tola chaandi se bhi ziyada hogi, lihaza qurbani wajib hogi,(aajkal bahut see aurton ke paas itna to hota hee hai)haan sirf sona hi ho, sath me kisi qism ka maal bilkul na ho to 7.5 tole se kam ho e ki soorat me qurbani wajib nahi haiMASAILE QURBANIAHSANUL FATAWA SE MAKHOOZIMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOOMUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURASURAT GUJRAT INDIAmas'ala no 48masaile qurbaniSawal.. Jo log hajj me jate hen un per baqraid wali maldari ki qurbani wajib he ya nahi.. ??JawabBaqra eid wali qurbani maaldaar musafir per wajib nahi hoti, balke apne gahr per ho ya kahi 15 din ya us se zyada thehre to qurbani wajib hogi, Agar hajji hajj ke dino ko milakar 15 dinmakka me theherne wala he to agar womaaldaar he to us per baqraid wali qurbani wajib hogi, chahe waha kare chahe apne ghar per karwale(Hajj wali qurbani alag he, us ka masala alag he. )(Jo hazraat hajje tamattu ya qiran kartehen un per hajj ki qurbani to wajib he hi our agar wo maaldaar our muqeem hento un per baqraid ki qurbani bhi wajib hogi.. )Our agar 15 din nahi theherna to wo musafir hoga us per baqraid wali qurbani wajib nahi.. Note.. jadid zamane ke aetebar se aksar muftiyane kiraam ki raay ke mutabiq mina, muzdlifa ab makka ke hudud me dakhil hen, lihaza un dino ko milakar 15 din hojayenge to wo muqeem kehlayega our maldari ki qurbani wajib hogi.. (Kitabul masail, mahmudul fatawa, fiqhiseminar ka fesla bhi isi per he..)M Ibrahim alyanimas'ala no 47masaile qurbaniKIN JANWARON KI QURBANI NA JAIZ..?SAWALJanwaron ke wo uyoob (khamiyan) kya hai jin se qurbani jaiz nahi hoti..??AL JAWAB★Qurbani ke janwaron ke uyoob, nichediye huwe janwaron ki Qurbani jaiz nahin.1. Jiska ek sing jad se ukhad gaya ho.(dimag tak asar hogaya ho)2. Andhaa ho.(chahe 1 aankh se aandha ho)3. Itna Kaanaa ho ke uska kaanaa pan malum hota ho.4. Itna langda ho ke khud chal kar QurbanGaah tak na ja sake.5. Itna bimaar ho ke uski bimari saaf tor par zaahir ho.6. Jiska kaan, Aankh, Punchh wagerah aa'za 1/3 (teesre hisse) se ziyada kat gaya ho.7. Pedaishi Daant na ho, ya aksar daantgir gaye ho ke ghaas-chaara na kha sakta ho.8. Aisa paagal ho ke ghaas-chaara na kha sakta ho.9. Khujli wala janwar jo(khujli ki wajah se) bahot dubla aur kamzor ho gaya ho.10. Jiska Aanchal(than) sukh gaya ho ya cut gaya ho ya 1/3 se ziyada cut gaya ho.11. Bakri, Ghenti-dumbi ke 1 Aanchal kasiraa na ho, chahe cut gaya ho ya kisi aur wajah se na ho.12. Jis Gaay, Untni ke Aanchal ki 2 sireykhatm ho gayi ho.13. Aisa janwar jiska khaana NaaPaki aur Gandki ho.14. Jis gaay ya bhensh ki zuban puri ya 1/3 se ziyada cut gayi ho.15. Itna kamzor ya dubla janwar jiska haddi ka gooda baaqi na raha ho.16. Khunsa-hijdaa jis me Nar aur Maada dono ki sharmgah ho.masaile qurbani m.rafatkhulasatul fatawa 4/320fatawa raheemiyah 3/383IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOOMUDARRISE DARUL ULOOM, RAMPURA, SURAT, GUJRAT, INDIA.mas'ala no 45masaile qurbaniSawal.. Janwar ka zabah kitni rag katne per hoga ??JawabJanwar ke gale me 4 rag hoti he.. 1) hulqoom, jis se saans liya jata he.. 2) mari, jis se khana andar jata he.. 3 aur 4) do khun ki ragenIn 4 me se 3 rag kaat jaye to janwar halal ho jata he our sharee zabah ho jata he.. (Agar 3 na kati sirf 1,ya 2 kati to janwar halal nahi hoga.)Mas'ala no 46Sawal.Gardan me kis jagah churi chalayi jaye??JawabJanwar ki gardan ke kisi bhi hisse me churi chala sakte hen.. Us me bich, kinare ki koi qed nahi he..(Kitabul masail 2,245,246)M ibrahim alyanimas'ala no 43masaile qurbaniSawal..Khassi janwar ki qurbani jaaiz heJawab.. Khassi janwar ki qurbani jaaiz, balke afzal our masnun he.. q ke us ka gosht zyada acha hota he..Mas'ala no 44Sawal ...Gaabhan (hamal wale) janwar ki qurbani jaaiz he??Jawab.. Agar wiladat ka waqt qarib he to makruh he warna makruh nahi.. (Kitabul masail 2/239)M ibrahim alyanimas'ala no 41masaile qurbaniSawal...Qurbani ka janwar kharida us waqt wo sahih salim tha baad me aib peda hogaya to kya hukm he ??JawabAgar kharidte waqt janwar sahih salim tha, baad me aib peda hogaya to maaldaar per us ki jagah dusra tandurust, be aib janwar qurbani karna zaruri heOur agar faqeer he to wahi janwar ki qurbani karsakta he.. dusra lana us perzaruri nahi.. Mas'ala no 42Sawal :Janwar sahih tha lekin qurbani ke waqt uchal kud me us me koi aib peda hogaya to kya hukm he?? JawabJo janwar pehle se sahih salim tha lekin qurbani ke liye koshish karte waqtuchal kud me aib hogaya to us ki qurbani me koi haraj nahi (maaldaar, garib sab ke liye)(Kitabul masail 2/240)ibrahim alyanimas'ala no 39masaile qurbaniSawal.. Qurbani ka gosht gair muslimo ko de sakte hen ??Jawab.. Qurbani ka gosht gair muslim ko bhi dena jaaiz he..(Kitabul masail bahawala aalamgiri, aelaussunan, 2,249)albatta muslim ko dena zya behtar he (fatawa rahimiya qadim 6,165)Mas'ala no 40Sawal.. qutbani ki khal qasai ko de sakte hen ??Jawab.. Qurbani ke janwar ki khal khud istemal karsakte hen, kisi ko de bhi sakte hen, agar khud ne wo khal bech di to is ki qimat garibo me sadqa karna zaruri he,Qasai ki ujrat me khal nahi de sakte.. us ki ujrat alag se de. Hadye ke tour per de sakte hen... (Mustafad kitabul masail, 2,53)M ibrahim alyanimas'ala no 37 masaile qurbaniSawal..Sing tute janwar ki qurbani hogi ? ?Jawab..Jis janwar ka sing ka kuch hissa tut gaya he to qurbani durust he,Lekin agar sing tutne ka asar dimag takpuhonch gaya ho yani dimag ki haddi me surakh hogaya to qurbani durust nahi hogi.. Mas'ala no 38 Sawal..Pedaishi sing na ho aese janwar ki qurbani hogi,??Jawab.. Jis janwar ke pedaishi sing na ho us ki qurbani durust he.. (Kitabul masail 2,236)M Ibrahim Alyanimas'ala no 35 masaile qurbaniSawal.. Kuch aadmiyo ne milkar 1 bade janwar me hisse liye hen to gosht taqsim kese karenge???Jawab.. Agar wo aapas me ajnabi hen our sab apna pura hissa chahte hen to sab ko tol kar barabar dena zaruri he, (andaze se kam zyada dena jaaiz nahi he..)Our agar aapas ek dusre ko ijazat di he ya sab ghar wale hi hen to is ihtimam kizarurat nahi he.. Yani sab ka alag alag barabar hissa karna zaruri nahi.. Mas'ala no 36Sawal... Bade janwar me sab hisse daar mutayyan hen to zabah karte waqt sab ka name lena zaruri he ??Jawab.. Hisse daar mutayyan ho chuke to zabah ke waqt har ek name lena zaruri nahi, sirf zabah karne se sab ki qurbani hojayegi..(Mustafad, kitabul masail 2,235)M Ibrahim Alyanimas'ala no 33 masaile qurbaniSawal.. Chand aadmi milkar 1 hissa lekar Huzure akram sallahu alayhi wasallamya kisi ko sawab puhoncha sakte hen???Jawab.. G haa,,Agar sawab puhonchane ki niyyat se chand aadmi 1 janwar me yaa janwar ke 1 hisse me sharik hokar qurbani ka sawab us ko puhoncha sakte hen.. Is liye ke is me wajib ki adaygi nahi balke sawab maqsad he.. (Mustafad kitabul masail 2/233)Mas'ala no 34Sawal. Qurbani me waleema ya aqiqa ka hisaale sakte hen??Jawab.. G haaWaleema sunnat he sawab he, us ka hissa rakh sakte hen isi tarah aqiqe ka bhi rakh sakte hen.. (Mustafad kitabul masail 2,233)M Ibrahim Alyanimas'ala no 31 masaile qurbaniSawal.. Ek janwar me kitne hisse ho sakte hen..?Jawab.. Bakra, bakri dumbe me 1 hi hissa ho sakta he (yani ek hi aadmi ki qurbani ekjanwar me hogi 1 se zyada nahi)Our bade janwar gaay bhens ount me 7 tak hisse daar ho sakte hen.. (yani zyada se zyada ek bade janwar me 7 aadmi ho sakte hen, us se zyada nahi,,haa kam ho sakte hen, jese 2,3 aadmi milkar pura bada janwar qurbani kare to jaaiz he)Mas'ala no 32Sawal.. Bade janwar me sharik log kis kis niyyat se sharik ho sakte hen.. ?Jawab.. Bade janwar me sharik tamam hazraat ki niyyat sawab our ibadat ki honi chahiye.. (yani sab hisse daar kisi na kisi sawab ke kaam me hissa le rahe ho jese waleema aqiqa qurbani,, kisi ki niyyat sirf gosht ki na ho,, agar kisi ki sirf gosht ki niyyat ho yaa koi gosht ki dukan wala he our hisse se us ko sirf gosht chahiye our koi sawab maqsad nahi to kisi ki bhi qurbani nahi hogi..)(Kitabul masail 2/233)M Ibrahim Alyanimas'ala no 29masaile qurbaniSawal.. Qurbani kin janwaro ki durust he.. ?Jawab.. Qurbani in janwaro ki durust he..1.. bakri jis me bakra dumba wagera shamil hen2.. oont3.. gaay jis me bhens katre shamil hen.. (Mustafad kitabul masail 2/231)Mas'ala no 30Sawal..Fitne ke dar se gaay ki qurbani na karna kesa he??Jawab.. gaay ki qurbani jaaiz he,, Lekin agar fitne ke andeshe ki wajah se na kijaye to jaaiz he(Kitabul masail bifarq 2/231)M Ibrahim Alyanimas'ala no 27 masaile qurbaniSawal..Agar waqt per qurbani na karsaka to abkya hukm he??Jawab..Agar waqt per qurbani na ki ja saki our janwarpehle se mawjud he to usi janwar ko zinda sadqa karna zaruri he,,,our agar janwar mawjud na ho to pure janwar ki qimat ka sadqa lazim he..Mas'ala no 28 Sawal..Qurbani waqt per na karsaka to baad me bade janwar me.hissa lekar qurbanikarsakta he ??Jawab..Agar qurbani wajin thi our qurbani ke dino me nahi kiya to ab 1 bakre ki qimat garibo per sadqa karna zaruri he..Yani ab bade janwat me hissa nahi le sakta balke pure janwar ki qimat deni zaruri hogi..(Mustafad kitabul masail 2/229)M Ibrahim Alyanimas'ala no 25 masaile qurbaniSawal... baap apne bacho our ghar walo ki taraf se har saal qurbani karta he to ijazat lena zaruri he??Jawab... Agar baap ka mamul he ke wo har saal apne biwi bacho ki taraf se qurbani karta he to sab ki taraf se qurbani durust he.. ghar walo ne ijazat di ho yaana di ho..(Kitabul masail 227)Mas'ala no 26Sawal... Huzure akram sallahu alayhi wasallamki taraf se qurbani karsakte hen???Jawab..Koi apni taraf se Huzure akram sallahu alayhi wasallam ke liye qurbani kare tokoi haraj nahi balke saadat ke hasil hone ka zarya he.. (Kitabul. Masail 229)mas'ala no 23 masaile qurbaniSawal.. Kisi ka. Janwar gum hogaya tha us ne dusra kharida phir wo pehle wala wapas mil gaya to kya hukm heJawab..is ki kai surte hen1.. agar wo aadmi maaldaar he yani usper qurbani wajib he our us ne dusra kharida tha phir pehla mil gaya to wo dono me se jo bhi chahe zabah karsakta he.. Our dusre ko apne kaam me laa sakta he bech bhi sakta he.. 2.. agar wo gatib he qurbani wajib nahithi our us ne dusra janwar nahi kharida to sirf isi janwar ki qurbani karle.. 3.. our agar garib ne dusra janwar kharid liya (jo us per zaruri nahi tha) phir pehle bhi mil gaya to ab is garib kodono janwar qurbani karna zaruri honge... Mas'ala no 24Sawal.. Chhote nabalig bache our pagal agar maalddar ho to un per qurbani wajib heJawab... Nabalig bache our pagal per qurbani wajib nahi chahe maaldaar hon.. Our un ke awliya yani dekhbhal karne walo per bhi in ki qurbani zaruri nahi..Lekin agar karden to behtar he.. (Mustafad, kitabul masail 2/226)M Ibrahim AlyaniSAWALQurbani vajib hone ke liye hajate asliyyah se zaid saamaan ko hisab me shumar karna hai,to hajate asliyyah se zaid saman kon kon se hai?JAWAB1. tin jodi se zaid kapde2. do jodi se zaid jute, chappal3. showcase ke bartan, showpic4. TV,vcr5. istiamal ke sone, chaandi ke zewarAhsanul fatawa 3/472 se makhoozIMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOOMUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURASURAT GUJRAT INDIAMas'ala no 21masaile qurbaniSawal..Koi garib qurbani ki niyyat se janwar kharidle to kya us per qurbani wajib hojati heJawab..G haa. Garib agar qurbani ki niyyat se janwar kharide to us per qurbani wajib jojati he.. Our usi mutayyan janwar ki qurbani lazim hoti he.. Masala no 22Sawal... Qurbani ka janwar kharidne ke baad badal sakte hen yaa nahiJawab ..Agar wo maaldaar he yani us per qurbani wajib thi to wo apna janwar badal sakta he.. Q ke maaldaar ke mutayyan karne se janwar mutayyan nahi hota.Is liye wo badal sakta he.. Our agar wo garib he.. yani us per qurbani wajib nahi thi to us ke kharidne se wo janwar mutayhan hogayaAb us ko badalne ki ijazat nahi he... (Mustafad.. kitabul masail 2/224,226)M Ibrahim alyanimas'ala no 19masaile qurbaniSawal... Maaldaar ne janwar kharida wo margaya to kya hukm he??Jawab.. Maaldaar ne janwar kharida wo mar gaya to us per dusra janwar kharidna our qurbani karna zaruri he.. Mas'ala no 20Sawal.. Garib ne janwar kharida wo. MAr gaya to kya hukm he???Jawab.. Garib ne janwar liya tha wo margaya to dusra qurbani karna zaruri nahi he.. (Kitabul masail.. 2/222,225)M ibrahim alyanimas'ala no 17masaile qurbaniSawal..Maaldaar aadmi ne qurbani ke liye janwar kharida our wo qurbani se pehlegum hogaya to kya hikm he???Jawab :Maaldaar ne qurbani ke liye janwar kharida tha wo gum hogaya to us ko dusra janwar qurbani karna zaruri he.. Mas'ala no 18Sawal.. Agar garib ne qurbani ke liye janwar kharida phir wo gum hogaya to kya hukm he??Jawab :Garib ne qurbani ka janwar kharida phirwo gum hogaya to us per dusra janwar qurbani karna zaruri nahi... Us ki qurbani khatam hogayiAb dusri karna zaruri nahi..(Kitabul masail 2/222,225 bahwala badaye ussanaye)M ibrahim alyaniSAWALHaj me jane walon haqeeqee taiyyaree kiya karni chahiye ?JAWABAgar aap par haj farz hai aur aapne haj par jane ka iradaa kar liyaa haiTo is nemate uzmaa ki qadro qimat ko pahechaniye aur apne andar mahsus kijiye keAllah taala ne apne muqaddas ghar aurApne mahboob sallallahu alaihi wasallam ke muqaddas shahar ki hazri ke movqe ke baat aap ke dil me daaliAur uske asbaab bhi aapko muhaiya farma diyeAb is nemate uzma ka shukriya ye hai keApne aap ko harmain sharifain ke rehmato barkato anwarat aur tajalliyat ke husul ke liye apne aapkoHajj ke aamaal seekhne ki taiyari me lag jayeIsliye ke bada hi bad nasib hai wo shakhs jiskoUska movla behtareen safar nasib kareAur wo apne aapko waha ki hazri ke aadab aur tareeqa seekhne ki aur banane sanwarne ki fikr na kareAur yunhi gaflat aur besuouri-naa sanjhike sath waha ja pahoncheIsliye zaroori hai ke ham deen ka ilm seekh kar aur apne gunahon se sachi touba kar keAur logo ke huquq baqi ho usko adaa kar ke ya muafi kara kar pak saaf ho karAllah taala ke aali darbaar me pahoncheAlhamdulillah har shaher me aur har jagah haj ke aadab aur arkan sikhane kifikr hoti hai camp-jod bhi hote haiAur masajido me bhi haj ke aadab sikhaye jate haiAap apna qimti waqt nikal kar masturatko masturat ke liye jaha arkan seekhaye jate ho bheje aur khud bhi pabandi se jude aur haj ke mavzooa par muatabar kitaben bhi khareedkar parhna shurooa kar deAur aap sathi bhi fikr karle ke jo hazrat haj par ja rahe hai unhe targeeb dekar haj ke arkan o aehkam sikhne ki, ho sakta hai aap ki mahenat se kai logo kahajj saheeh ho jaye aur aap zariya ban jaye*makhuz hajj sunnat ke mutabiqAllah taala sabko har amal seekh kar fikro k sath karen ki toufiq ataa farmaye.MAS'ALA NO 15MASAILE QURBNAISAWALEk aadmi maaldaar tha lekin qurbani kedin aane se pehle garib hogaya to kya us per qurbani wajib heJAWABQurbani ke din me garib hogaya yani sahibe nisab nahi raha to is per qurbaniwajib nahi.MAS'ALA NO 16SAWALEk shakh garib tha lekin qurbani ki dino me maaldaar hogaya to us per qurbani wajib he??JAWABJo pehle faqir tha,Qurbani ki dino me ya qurbani ke tisre din aakhri waqt me bhi maaldaar hogaya to us per qurbani wajib he.. (Mustafad kitabul masail 2/222)M ibrahim alyani +919173964404MAS'ALA NO 13MASAILE QURBANISAWALSasti qimat ki wajah se dusri jagah qurbani kara sakte hen ??JAWABSasti qimat ki wajah se dusri jagah qurbani karane me koi haraj nahi he. Lekin maali ibadat me jitna zyada rupyakharch kiya jata he sawab utna hi zyadamilta he.MAS'LA NO 14SAWALDikhane ke liye mehenge jaanwar kharidna kesa he???JAWABBaaz log dikhane ke liye mehenge janwar kharidte hen our us ka charcha karte hen to is ke sath sawab ki ummid rakhna dhoka heAllah ke yahan wahi amal maqbul he jo khalis allah ke liye kiya jaye.. (Mustafad kitabul masail 2/219)M ibrahim alyani +919173964404MASALA NO 11MASAILE QURBANISAWALAgar kisi ne apni qurbani ka intizam dusre sheher me rakha he to kahan ki eid ka aetebar hoga???JAWABAgar dusre sheher me qurbani ka intizam kiya he to jahan janwar he usi sheher ki eid ke baad qurbani sahih hogiChahe us malik ke yaha eid na hui ho.MAS'ALA NO 12 SAWALKisi ne apna janwar gao me bheja jahan eid ki namaz nahi hoti to kab qurbani karni hogi??JAWABKisi sheher ke aadmi ne apna janwar dihat me rakha ho to eid ke din subah sadiq se hi qurbani durust heEid ki namaz ka intizar nahi kiya jayega.. (Mustafad kitabul masail 2/217,218)M ibrahim alyani +919173964404MAS'LA NO 9MASAILE QURBANISAWALEid gah me namaz hogayi lekin sheher ki masjido me namaz baqi he to kya qurbani kar sakte hen ??JAWAB :Agar eid gah me eid ki namaz hogayi our dusri masjido me baqi he to bhi qurbani durust heQurbani ho jayegi.MAS'ALA NO 10SAWALSheher me ek jagah eid ki namaz hone se dusri jagah walo ko qurbani sahih he?? JAWABAgar sheher me kisi bhi jagah eid ki namaz hogayi to pure sheher walo ke liye qurbani karna durust he... (Mustafad, Kitabul masail 2/216)M ibrahim alyani +9191739664404Masa'la no 7Sawal..Qurbani ka waqt kab se shuru hota he ??Jawab..Qurbani ka asl waqt 10 zilhaj ki subah sadiq se shuru hokar 12 zilhaj ke suraj ke gurub hone tak rehta heAlbatta jahan eid ki namaz hoti he (jesesheher ,bada gao) waha eid ki namaz ke baad qurbani sahih hogi (us se pehle nahi)our jaha eid ki namaz na hoti ho jese dihat,chhota gao waha subah sadiq ke baad qurbani sahih he..Masa'la no 8Sawal..Agar eid ki namaz ke baad khutbe se pehle qurbani kare to hogi ya nahi???Jawab..Eid ki namaz ke baad khutbe se pehle qurbani ki to sahih hojayegilekin aesa karna acha nahi heBehtar ye he ke khutbe ke baad hi qurbani ki jaye..(Kitabul masail bifaeqin yasir 2/215)M ibrahim alyani +919173964404Masala no 5Sawal: .. agar koi qurbani na kare us ke badle qimat sadqa karde to durust he?Ya qurbani hi zaruri he??? Jawab : (qurbani wakib ho to) qurbani ke dino me qurbani hi zaruri he qimat kafi nahi..Haa agar kisi wajah se un dino me qurbani nahi kar paya our din guzar gaye to phir qimat ka sadqa zaruri he ..(Fatawa mahmudiya jadid bi farq 17/310)Masala no 6 Sawal ..Ghar ke ek aadmi ki taraf se qurbani kare to sab ki ada hojayegi yaa nahi??Jawab ..Jis ke zimme qurbani wajib he wo apni taraf se qurbani kare..Ye samajhna ke ek bakra qurbani kardene se pure ghar ka wajib ada hojayega sahih nahi..!!!(Fatawa mahmudiya bi farq 17/312)M ibrahim alyani +9191739664404Masala no 3Sawal..Qurbani kis per wajib he?? Jawab...Qurbani us per wajib he jis me ye chize ho ??1.. musalman ho2. Aqal wala ho ,, pagal per wajib nahi3.. balig ho, , bache per wajib nahi4.. muqeem ho,,, musafir per wahib nahi (yani jo shakh qurbani ke tino din me safar me ho us per qurbani wajib nahi)5.. us ke paas 612.35 gram chandi ya us ke barabar saman ho6.. wo saman zarurat se zaaid ho7.. wo maal chahe sona ho chandi ho yaa gharelu saman ho ya zarurat se zaaid ke makanat jaaidad wagera ho8.. is me saal guzarna shart nahiQurbani ki tino din me kabhi bhi itna maal aayega to qurbani wajib hojayegi..(Masaile qurbai 117 bi farq)Masala no 4 Sawal..Qurbani ke kon konse din hen??Jawab ..Qurbani ke 3 din he10 /11/12 zilhajj ( 12 ki sham tak)Is se pehle yaa baad me qurbani motabar nahi he..Kitabul masail 2/214 bahawala hindiyya wageraM ibrahim alyani+9191739664404Masala no 1Sawal.. Qurbani karne ki kya fazilat he??Jawab Hazrat aaisha r. Z se riwayat he ke huzur sallallahu alayhi wasallam ne irshad farmaya ke zil hajja ki 10 tarikh yani eidul azha ke din insan ka koi amalallah taala ko qurbani se zyada mahbubnahi heOur qurbani ka janwar qiyamat ke din apne singo our baalo our khuro ke sath zinda hokar aayega our qurbani ka khun zamin per girne se pehle allah taala ki Riza our maqbuliyat ke maqam per puhonch jata hePas ae khuda ke bando dil ki puri khushi se qurbaniyan kiya karo(Tirmizi sharif bahawala masaile qurbani 32 bifarqi yasir)masala no 2Sawal.. Qurbani na krne per kya waeed he???Jawab.. Hazrat abu huraira r. Z se riwayat he kehuzur sallallahu alayhi wasallam ne irshad farmayaJis ke paas gunjaish ho (us per qurbaniwajib ho) our us ke bawjud wo qurbani na kare wo hamari eidgah ke qarib bhi na aaye (bayhaqi)Masaile qurbani 31(Maulana rafat qasmi)M ibrahim alyani+919173964404SAWAL1. pehle khud haj karey ya walidain ko karaye..?2. haj muqaddam hai ya bachchon ki shaadi..? JAWAB1. awlaad ke zimme maa baap ko haj karana zaruri nahi hai, lekin agar Allah ta’ala ne awalaad ko maal diya hai to haj karana badi sa’aadat [khushnasibi] hai,[aap ke masail 4/72]2. agar kisi ke paas itna maal ho ke, wohaj kar sakta ho, lekin wo haj na karey, balke wo rupiya awlaad ki shadi me lagaa de, baad me muflis [garib] ho jaye aur tamam umr muflis rahe, to aiseshakhs par shuru me maal hone ki wajah se haj farz samjha jayega, bilaa haj kiye mar jaye to farz haj chhodne ki wajah se gunehgaar hoga, aaj kal rasmo-riwaj ne shadi ke liye jo paabandiyan laazim kar di hai, wo aksar aisi hi hai jo ke shar’an laazim-zrooree nahi, balke shar’an najaiz hai, agar masnoon tariqe se shadi ki jaye tohaj mauqoof ya baad me karne ki zarurat pesh na aaye.[fatawa. darul uloom-4/518][ fatawa mahmudiyah3/178]SAWAL1. Qarz-daar ka haj ke liye jane ka kya hukm hai..?Aur2. Qarz-daar ka nafli haj ke liye jane ka kya hukm hai..?Aur3. Tijarati qarzon ka kyaa aeitbaar hai..?AL JAWAB1. Agar filhaal qarz maangne walon ka mutalba na ho, aur wo baa-khushi haj ke liye jaane ki ijazat den, ya qarzdaar apne qarz ka kisi ko zimmedaar banaa den, aur us qarz khwaahon ko itminaan ho jaye aur wo ijazat de den to wo shakhs haj ke liye ja sakta hai, us shakhs par jitna qarz ho eahtiyatan uske baare me wasiyyat naama likh den, aur warison ko takeed kar den ke agar meri mout ho jaye aur mere zimme qarz baaqi reh jaye to mere tarkaa [waarse] me se pehle qarz adaa kar diya jaye, agar tarke me gunzaish na ho to tum apne paas se qarz adaa kar dena, ya usse muaaf kara dena, Agar qarz khwah [qarz dene wale] ki ijazat ke bagair jayega to MAKRUH hoga, agar che fariza adaa ho jayega,Agar usi waqt qarz adaa karne ki gunzaish ho to usi waqt qarz adaa kar dena chahiye, uski bahot hi ziyada aehmiyyat hai,intezaam hote huwe bhi qarz adaa na karna sangeen gunaah hai,(qarz baqi rakhkar wahan lambi chodi khareedee karne ki ijazar qarz khaah ne nahi dee hoti hai.us ki ijazat alag len)Hadis sharif me hai ke : Maaldaar ka Talamtol [aanaakaani] karna zulm hai.2. Jo shakhs farz qarz adaa kar chuka ho aur nafli haj karne jana ho to nafli haj se behtar ye hai ke qarza adaa karey,(is bare me bhi kotahi ho rahi hai)aur uske bil-muqabil gareebee ki haalatme jab ke bil-khusus dusre ke huquq apne zimme ho, unke huquq ki adaaygi ke aehmiyat hajje nafl se kahin ziyada hai.[fatawa raheemiyah 8/282,ba hawala shaami 2/205, durre mukhtar 2/191]3. Tijarati qarze jo aadatan hamesha jaari rehte hai, isme daakhil nahi, aise qarzon ki wajah se haj ko muakhkhar [multavi, cancel] nahi kiya jayega.[ahkamul haj safa-24, hz. Mufti Shafi sahib rh.]PEHLE MAKAN BANAYE YA HAJ KARE?SAWALMera makan kiraye ka hai aur mene apna zati makan banane ke liye paise jamaa kiye hai to in paison ki wajha se mujh par haj farz hai pehle apna makanbana lun fir haj jab paisa jama ho to haj karun aesa karne ka kya hukm hai?AL JAWABJab aap ke paas haj ke muwafiq paisa mavjood hai to haj karna farz aur muqaddam (use pehle ada karna zarooree) hai.us raqam ko makan me kharc karna jaiz nahi.fatawa darul uloom dewband se makhooz.SAWAL(A).Aurat ko haj ke safar ke barey me kya hukm hai..?(B).mahram kise kehte hai?JAWAB[A]Aurat ke liye bagair mahram ke safar karna shar’an jaiz nahi hai, is liye wo hajpar qaadir us waqt samjhi jayegi jab ke uske sath koi mahram haj karne wala ho. Chahe mahram apne kharch se haj kar raha ho ya yeh aurat uska kharch bardasht karey, isee tarah wahan pahunchne ke liye raasta aman wala hona bhi taqat ka ek hissa hai, agar rasta me bad-amani, jaan-maal ka qawi [pakka] khatra ho to haj ki taqat nahi samjhi jayegi. [ma’riful quran-2/122 se maakhuz][B]Mahram se murad wo shakhs hai jike saath nikaah haram hai, chahe nasab kiwajah se, ya susrali ya dudh ke rishte kiwajah se, jaise bhai-bahen, bhanja-bhanji, bhatija-bhatiji, aur unki awlaad, saas-sasur, daamad-bahu, ye sab mahram hai,Niz mahram ka mu’tamad [bharose ke qaabil] aaqil [aqalmand] baalig aur fitneaur shahvat ka khatra na hona bhi sharthai.[fatwa rahimiyah, kitabul fiqah, muallimul hujjaj]Awrat ke liye khalu [maasa], fufaa, apneshohar ke bhatije aur bhanje, apne behnoi,Dewar,jethi, mahram nahi hai.[fatawa rahimiyah-8/307][aap ke masail 4/84 se maakhuz]SAWAListita'at-taaqat ke bavjood haj se pehle umra karna kaisa hai?AL JAWABUmra haj ka badal nahi he, jis shakhs par haj farz ho uske liye zarooree he k wo haj kare,jis shakhs ko haj ke dino me baitullah tak pahunchne aur haj tak waha rehne ki taqat (kharch,intizam,ijazat) ho us per haj farz ho jata he, isliye ese shakhs ko Jo sirf ek baar Baitullah Sharif pahunchne ki tamanna rakhta ho,haj par jana chahiye, umrah ke liye safar karna aur farziyat ke bavjood haj na karna bahut galat baat he.Aapke Masail aur unka Hal,Jild- 4, Safa no 38Khilafe qanoon hajj karnaSawalHaj ke darkhast form me is bat ka bhi iqrara hota hai ke 5 sal ke andar haj na kiya ho. Agar koi shakhs is muddat ke under ja chuka hai to kiya ye shakhs dhoka denewala kehleyega?JawabHaj azeem ibadat hai jis ke zariyea sab gunah muaaf ho jate hai jhut gunah hai aur qasam us se bhi zayada qabeeh-khatarnak aur buri hai ibadat ke liye gunah ki ijazat nahi wese bhi khilafe qanoon cheez ka karna apne aap ko khatre me dalna hai pol khul jane par maal aur izzat donon ka khatrah hai aesa khatra mol lena aqalmandon ka kaam nahi hai isliye aesa hargiz na kiyajaye. *masaile hajjo umrah safa 45*ba hawala fatawa mahmoodiyah 17/199, 187 13/171SAWALMera makan kiraye ka hai aur mene apna zatimakan banane ke liye paise jamaa kiye hai to in paison ki wajha se mujh par haj farz hai pehle apna makan bana lun fir haj jab paisa jama ho to haj karun aesa karne ka kya hukm hai?AL JAWABJab aap ke paas haj ke muwafiq paisa mavjood hai to haj karna farz aur muqaddam (use pehle ada karna zarooree) hai. us raqamko makan me kharch karna jaiz nahi.*fatawa darul uloom dewband se makhooz
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
AETIKAF KE MAKRUHAAT
*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai? ๐ตJAWAB๐ต Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...
-
๐ *Ten disadvantages of playing cricket * ⭕Today's Question no. 652⭕ What is the ruling on watching and playing cricket? Does it cont...
-
*DISADVANTAGES OF FLYING KITES* ⭕Today's Question no. 1222⭕ What is the ruling regarding flying kites in accordance with Islam? ๐ต An...
-
15 SHABAAN KE KITNE ROZE RAKHNE HAI EK YA DO..?JAWAB15 WEE SHABAN KA EK ROZA RAKHNA MUSTAHAB HAI.AASHOORAH KI TARAH DO RAKHNE KA MASLAA IS M...
No comments:
Post a Comment