JUMUAH MUBARAK KA HUKM?sawaljumuah mubarak kehna kaisa hai?1.mustahab2.sunnat3.bid`at4.sunnat ya deen samajh kar na kaha jaye to mubah yaanee jaiz hai.5.bachna behtar ?jawabjumuah ka din ba barkat hai us barkat ke izhar ke liye ya bataure duaa musalmano ka baham ek dusre ko juma mubarak kehna ya is (ka sms bhejna) fee nafsihee- bazahir jaiz to hai,magar mustaqil- khas taur par jumaa ke din ka sharee juzv-hissa aur rasm bana lene ki galti na ho jaye (aaj to whatsapp par baz logon ne rasam banalee hai) isliye baaz ahle ilm ne mana kiya hai.faqt wallahu aalam(darul ifta jamiaa uloomi islamiyah binnoree tawun karanchi ka fatwa tasheel-alfaz ko asan karne ke sath)Usool (1)kisi kaam ke bare me sunnat aur bidat hone me shak ho to usey bhi chhod dena behtar hai to jis kaam ke bare me bidat aur mubah-jaiz hone me shak ho aur rasm ban jane ka khatra ho us ko toba tareeqe awlaa chhod dena chahiye.Usool (2)Balke jis kaam me nafa ho lekeen nuqsan ka bhi khatra ho to shareeat ne nafa hasil karne ke muqabale me nuqsanse se bachne ko behtar kaha hai(rasmul mufti)Ye do usool ikhtiyar kar liye jaye to tamam aese kam Jis ke bidat aur jaiz hone me ikhtilaf hai ummat ko un shak wale kamo se najat mil jaye.baaz mamalik me jumaa ka din pata nahi chalta to us kee yad dihani ke liye jumaa mubarak kehte hai un ko bhi chahiye ke yaad dihani ke liye juma mubarak kehne ke bajaye jumaa ki kisi sunnat ki dawat di jaye to ye maqsad bhi hasil ho jayega.masalan aaj juma hai masjid jald pahonchne ki sunnat ham ada kare, wagairah.(makhooz az fatawa raheemiyah 2/187)✏ [mufti] IMRAN ISMAIL MEMONUSTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
AETIKAF KE MAKRUHAAT
*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai? ๐ตJAWAB๐ต Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...
-
๐ *Ten disadvantages of playing cricket * ⭕Today's Question no. 652⭕ What is the ruling on watching and playing cricket? Does it cont...
-
*DISADVANTAGES OF FLYING KITES* ⭕Today's Question no. 1222⭕ What is the ruling regarding flying kites in accordance with Islam? ๐ต An...
-
15 SHABAAN KE KITNE ROZE RAKHNE HAI EK YA DO..?JAWAB15 WEE SHABAN KA EK ROZA RAKHNA MUSTAHAB HAI.AASHOORAH KI TARAH DO RAKHNE KA MASLAA IS M...
No comments:
Post a Comment