Sunday, December 27, 2015

HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI_WA_SALLAM KE 11 NIKAH KARNE KI WAJHA

🌷HUZOOR SALALLAHU ALAIHI WASALLAM KE 11NIKAH KARNE WAJHA.

⭕AAJ KA SAWAL NO.568⭕

ⓂHUZOOR ﷺ NE 11 NIKAH KIYUN KIYE IS KI KIYA WUJOHAAT AUR HIKMATEN HAIN?

🔵JAWAB🔵

🔖EK MARD KE LIYE BAHOT SI BIBIYAN RAKHNA ISLAM SE PEHLE TAQRIBAN DUNYA KE TAMAM MAZAHIB ME JAIZ SAMJHA JATA THA HINDUSTAN, IRAN,MISR,YUNAN,BABUL  WAGAIRAH MULKON KI HAR QAUM ME KASRAT SE SHADIYON KI RASM JARI THI
AUR US KI FITRI ZAROORATON SE AAJ BHI KOI INKAR NAHI KAR SAKTA

🔖KRISHNA JO HINDUON ME BADE WAJIBUT TAZEEM MANE JATE HAI UN KI SENKADON BIBIYAN THI  MANOJI JO HINDUON AUR AARYANON ME SAB KE NAZDEEK PESHWA AUR BUZRUG MANE JATEN HAIN DHARM SHASHTRA ME LIKHTE HAIN "AGAR EK AADMI KI CHAR PANCH AORTEN HON AUR UN ME SE EK SAHIBE AOLAD HO TO BAQI BHI SAHIBE AOLAD KEHLATI HAI.

📓(MANU ADHYAY 9 SHLOK  183)

ⓂHUZUR ﷺ NE 11 AURTON SE NIKAAH KIYAA ISKI BAHOT SEE MASLEHATEN AUR HIKMATEN HAI,
UN ME SE CHAND YE HAI,

1. Nabi salallahu alayhi wasallam ka har ek amal ummat-musalimaa ke liye dustur,qanoon sabaq ki haisiyat rakhta hai isliye aap ki zindagi ka har pehlu ummat ke samne allah ko lana tha aur  andar ki zindagi ke haalat,
jese tanhai Ki ibaadat ki mashqqat aur shauq ummat ke samne lana tha.

2. Mukhtalif umr aur  mukhtalif khandan aur mukhtalif mizaj ki aurton Ke sath sadgi se nikah karne ka insanon ko tareeqah maloom ho huzoor SALALLAHU ALAIHI WASALLAM ko maloom tha ke log khandani riwaj ki wajha se nikah me bahot kharch karenge un ke liye saadgee ke namoone pesh kiye.

3. Aesee mukhtalif aurton ke sath rehne Ka, un ki tarbiyat karne ka,un ko bardasht karne ka,un ke samne akhlaq pesh karne ka tareeqah ummat ko maloom ho,

4. Ghar ki chaar deewari jahan koi dekhne wala nahi hota aur insan apni bivi bachchon se betakalluf hota hai fir bhi un ke sath husne akhlaq aur un ke huqooq ki puree adaygi Ka tareeqah ummat ke samne aaye.

5. bivi ke sath ki tanhai ke masail jis ko bivi hee dekh sakti hai woh bhi ummat tak pahonchane wali kasrat Se ho.

6. Aurton ki paki napaki ke masail Jise gair mahram auraten puchhne me sharm karti hain biviyon ke zariy ummat tak pahonch jaye.

7. Aisi aurton ko madad karne ke liye aur Un ke gam ko door karne  ke liye jin ke shauhar-husband jihad me shahid kar diye gaye aur woh be sarosaman reh gai to un ki dildaari aur sahaara dene ke liye nikah kiye

8. Mukhtalif qaumo ke logon ki musalmano ke sath ladai thi aur woh dushmani rakhte the, unke saath achhe talluqaat aur rishtedari qaim ho jaye.

🔖Kyuki nikaah ki wajah se Allah ke nabi sallallahu alaihi wasallam unke rishtedaar ban jaye aur unke dushman dost ho jaye aur khun kharaaba ruk jaaye wagairah.

🔖aap ne sab se pehla nikah 25 saal ki umr me ek 40 saal ki burhi bewa hazrat khadeejah radee allahu anha se kiya jo do shohron ko nikah me rah chuki thi donon se awlad thi do ladkon aur teen ladkiyon ki is tarah 5 bachchon ki maa thi.

🔖  Ye nikah ki darkhast khud hazrat khadeejah radee allahu anha ki janib se thi jis ko baargahe nabuwwat me rad-mana na kiya gaya aur nikah kar ke apni aksar umr yani 25 saal un hee ke sath guzaree aur sab awlad bhi un se hui

🔖 jab umre shareef 50 saal se bhi aage badh gai tab baqi das nikah sharee zaruraton ki wajha se mukhtalif halat me kiye gaye ye sab ki sab bibiyan hazrat aaisha radee allahu anha ke siwa bewa thi aur baaz awladwali thi aur sab aurten aap SALALLAHU ALAIHI WASALLAM ke nikah me khush aur sukhi thi.

🔖in sab baton ko dekhkar koi saheeh aql rakhnewalaa aasani se ye fesla kar sakta hai ye tamam nikah (allah ki panah) nafsani khahishat pura karne ke liye nahi the.

🔖Jab hazrat khadeejah radee allahu anha ka intiqal huwa us waqt lakhon log islam me dakhil ho chuke the khubsoorat se khubsoorat aur tamam kunwaree aorten nabi sallallahu alaihi wasallam ke nikaah me aane ko fakhr aur dunya aakhirat me kaamyabi samjhti thi fir bhi aap ne islamee faidah ke liye bewaon se nikah kiya.
huzoor salallahu alayhi wasallam ko jan se marne ki aur har treeqah se badnam karne ki mushrikeen aur yahoodiyon ne koshish ki bahut se ilzam lagaye

🔖nabi sallallahu alaihi wasallam ko jadugar pagal shaaeer kaha gaya lekeen in sab nikahon ko dekh kar kisi ne bhi (allah ki panah) shawat parast wagairah is line ke bure alqab kise ne bhi nahi diye kiyun ke huzoor salallahu alayhi wasallam ki pakeezah pakdamani wali puri zindagi un ke samne thi.

📗SEERATE KHATAMUL AMBIYAA AUR

📘SEERATE MUSTFA SE MAKHOOZ HAZFO IZAFE KE SATH

✏IMRAN ISMAIL MEMON UN KI MAGFIRAT KI JAYE
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
✅join-+918822238899☝
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Humre Sabhi Sawal jawab Aur Bhi baht kuch Message pane Ke liyA Islamic GrouP Application download Kre.. 👇🏿

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...