⭕AAJ KA SAWAL NO.531⭕
Maa Bachche ko apna dudh kitne sal Tak pila sakti hai?
Dibbon ka dudh aur chusniyan-toty dena kaisa hai?Is bare me ulamaa kiya rehnumai farmate hai?
🔵JAWAB🔵
maa bachche ko rajih-saheeh qaul Ke mutabiq do sal tak dudh pilaa sakti hai
📗BAHRUR RAAIQ 3/229.
Dibbon aur totyu -feeder ka istimal munasib nahi.
maa ke dudh se bachche me maa ki muhabbat aur maa ki imani kifiyat muntaqil -transfer hoti hai aur dibbon Ka dudh dena bachche Ki sihhat, akhlaq aur jismani quvvat ke liye nuqsan deh hai janwar kee sifat paida hote hai.chusni-toty se dibbon ka dudh aur maa ke dudh Ke bajaye giza khanewale bachche aksar bimar rehte hai agar maa ko dudh kam aata ho to doctor aur hakeem Se mashwarah aur ilaaj kare faurn dibbon ke dudh dena Ka fesla nahi karna chahiye.
Agar majbooree ho aur toty-feeder se dudh pilana ho to har dusre tisre din toty-feeder badal dena chahiye kiyun ke ispar bacteria jam jate chahe use kitni hi martaba garm pani se dhoya jaye aur itna kharch na kar sakte ho to steel ke bartan me dudh nikalkar steel ke chammach hee se dudh dena chahiye.
📘AULAD KI TARBIYAT KE SUNEHRE USOOL SAFA 121,122 KA KHULASA HAZRAT MAULANA PEER (doctor bhi hai) ZULFIQAR NAQSHBANDI SAHAB D. B. KI
✏IMRAN ISMAIL MEMON UN KI MAGFIRAT KI JAYE
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
No comments:
Post a Comment