Monday, December 28, 2015

SAWALHUZOORﷺNE 11 NIKAH KIYUN KIYE IS KI KIYA WUJOOHAT HAIN

SAWALHUZOORﷺNE 11 NIKAH KIYUN KIYE IS KI KIYA WUJOOHAT HAINJawabHuzurﷺne 11 aurton se nikaah kiyaa iski bahot si maslehaten aur hikmaten hai,Un me se chand ye hai,1. Apni andurooni zindagi ke haalat,Jese tanhai ki ibaadat ki mashqqat aur shauq, mukhtalif umr aur mukhtalif khandan aur mukhtalif mijaz ki aurton ke sath rehne katateeqah ummat ko maloom ho,2. Ghar ki chaar deewari jahan koi dekhne wala nahi hota aur insan apni bivi bachchon se betakalluf hota hai fir bhi un ke sath husneakhlaq aur un ke huqooq ki adaygi ka tareeqah ummat ke samne aaye.3. Bivi ke sath ki tanhai ke masail jis ko bivi hee dekh sakti hai woh bhi ummat tak pahonchane wali kasrat se hoAurton ki paki napaki ke masail jis gair mahram puchhne me sharm karti hai biviyan ke zariy ummat tak pahonchegi4. Kai nikaah aisi aurton ko madad karne ke liye aur un ke gam ko door karne ke liye jin ke shauhar-husband imaan ko bachane ke liye shahid kar diye gaye.5. Mukhtalif qaumo ke logon ki musalmano ke sath ladai thi aur unse dushmani rakhte the, unke saath achhe talluqaat aur rishtedari qaim ho jaye.Kyuki nikaah ki wajah se allah ke nabi sallallahu alaihi wasallam unke rishtedaar ban jaye aur unke dushman shaant ho jaye aur khun kharaabe ko roka jaaye.Aur bhi bahot si wujoohaat hai, inshaAllah yahan par likhi jayegi.

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...