Monday, December 28, 2015

BIDAT KISE KEHTE HAI

SAWALBIDAT KISE KEHTE HAI?US KI TAREEF-DEFINATION DEWBANDI AUR BARELVI DONO HAZRAAT KE MUTABIQ BATAYE.JAWABHAZRAT MUFTI KIFAYATULAH RAHMATULLAHI ALAYHI (WAFAT 1372 HIJRI) LIKHTE HAINBIDAT UN CHEEZON KO KEHTE HAI JIN KI ASAL SHAREEAT SE SABIT NA HO YAANEE QURANE MAJEED, AHADEESE SHAREEFAH SE US KA SUBOOT NA MILE AUR RASOOLULLAH SALALLAHU ALAIHI WASALLAM AUR SAHABAH E KIRAM RADEEYALLAHU ANHUM AUR TABIAYEEN AUR TABIA TABIAYEEN RAHMATULLAHI ALAYHIM KE ZAMANE ME US KA WAJOOD NA HO AUR US KO DEEN KA KAAM SAMJH KAR KIYA JAYE YA CHHODA JAYE.(TA'LEEMUL ISLAM HISSA 4 SAFAA 27)BARELVI MASH'HOOR ALEEM MOLVI MUHAMMAD SALIH LIKHTE HAI BIDAT US CHEEZ KO KEHTE HAI JO UMOORE DEENIYAH (DEENEE KAAM) SE SAMJHI JAYE MAGAR KISI DALEELE SHAREE SE US KA SUBOOT NA MILTA HO NA KITAB (QURAAN) SE, NA AHAADEESE NABAVIYYAHSE NA IJTIMAAE MUJTAHIDEEN SE (TABIYEEN AUR TABIA TABIAYEEN KO DAURKE ULAMAA KA ITTIFAQ) NA QIYASE SHAREE SE.TUFATUL AHBAB SAFA 95(UPAR BARELVI ALIM NE DEENEE KAAM KI QAID LAGAI HAI IS SE MALOOM HUWA KE NAYEE CHEEZEN JO HUZOOR SALALLAHU ALAIHI WASALLAM KE ZAMANE ME NAHI THI JESE CHAY,BIRYANI,BUS,GHADI WAGAIRAH IN SAB KA ISTISMAL BIDAT NAHI KIYUN KE HAM USE DEEN YA SAWAB SAMJH KAR NAHI KARTE)DUSRE BARELVI ALIM MOLVI ABDUS SAMEEA RAMPUREE LIKHTE HAIJIN NE NIKALI IS DEEN ME WOH BAAT JO DEEN KI QISM ME SE NAHI HAI YANI KITABULLAH AUR SUNNAT (HADEES) KE MUKHALIF HAI WOH BAAT US KI RAAD (NA QABILE QUBOOL) HAI.ANWARI SAATIAA SAFA 33.

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  ๐Ÿ”ตJAWAB๐Ÿ”ต Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...