Thursday, December 24, 2015

Barlvi ka Sawal Jawab

👉MEELAD KE BARE ME 👇 BARELVIYON KE EK SMS KA JAWAB UN KI HAR DALEEL KE NICHE 👈

🔹YE DEKHO MILAD KA PEHLA SABOOT AB BHI WAQT HAI BAAZ AA JAO APNE BATIL FIRQE SE TOUBA KARO BHAIYO.....
± ±±±±±±
ALLAH HAR MUSALMAN KO HIDAYAT NASEEB KARE.. AMEEN

Milad Un Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam k mauqe par Bad-Aqeedo se kuch Sawal!!!
●▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬●
[ In Sawalo Ka Jawab Tum Duniya Me Nahi De Sakte Toh Aakhriat Me Kaisay Do Ge ??? ]
●▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬●

••► Tum Apni Aulad Ki Wiladat Par Khush The ;
AUR Apne'NABI"صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ"Ki Wiladat Par Khush Nahi Akhir Kyun ?

 JAWAB⭕

us din khush huwe the har saal gairon ki tarah khush nahi hote

🔹••► Tum Ne Aulad Ki Khushi Me Dawat Ki ;
Apne'NABI"صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ"Ki Wiladat Ki"Khushi"Me Dawat Ko Bid’dat Kaha Aakhir Kyun ?

⭕JAWAB⭕

Har sal dawat nahi karte nabi SALALLAHU ALAIHI WASALLAM ki hayaat ham 1450 sal se pehle mante hai
Allah ki panah Ham murda nahi mante ke ab peda hona man kar dawat kare.

🔹Tum Ne Aulad Ki Shadi Par Ghar Sajaya ;
Magar'JASHAN - E - WILADAT'Pe Ghar Sajane Ko Bid’at Kaha Akhir Kyun ?

⭕JAWAB⭕

Har saal viladat nahi hoti hamare se zayada ashiq sahaba RADEEYALLAHU ANHUM Ne sirf viladat ke saal hee khushi wagairah mana kar farig hoye har saal gairon ki tarah ghar saja kar brithday aur janam din nahi manaya

🔹Tum Ne Har Khushi Bagair Kisi Daleel Ke Manai ;
Par'WILADAT - E -'NABI"صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ"Manane Par Daleel Mangi Akhir Kyun ?
Jawab Hai ???

⭕JAWAB⭕

Wiladat ki khushi deen aur sawab samjh kar manai jati hai deen apni marzi se chalne ka naam nahi balke queaan, hadees ki daleel par chalne ka naam hai
Har khushi deen nahi baaz khushi mubah(na sawab na gunah) hai.
____________________________________
🔹Miladun'NABI'KeSabut QUR’AN Se :
.
1 - Surah – DUHA - Aayat No. - 11
2 - Surah – FAT’H - Aayat No. - 28
3 - Surah – SAFF Aayat No. - 6
4 - Surah – TAUBA - Aayat No. - 128
5 - Surah – IMRAN - Aayat No. - 164
6 - Surah – YUNUS - Aayat No. - 57 / 58
7 - Surah – AMBIYA - Aayat No. - 107
●▬▬
⭕JAWAB⭕
▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬●
Sab tafseer- matlab aap ka manghadat hai har firqah quraan ki aayat ki manmani tafseer kar ke gumrah huwa.lihaza
ahmad raza se pehle ki Muatabar tafseer ibne kaseer, roohul maani, tafseere kabeer wagairah se ye murad aur tafseer pesh nahi kar sakoge in tafseeron me sahaba aur khairul quroon ke hazrat ki tafseer muqaddam hoti hai

🔹'HUZOOR Ke Zamane Me'MASJID - E - NABWI'Me Milaad Huyi Isme Khud Huzoor Ne Apni Wiladat Ke baare mein Bayan kiye !
Refrence Of This Hadees :
[ Tirmizi Sharif, Jild No. - 2, Safa No. - 201 ]

⭕JAWAB⭕

Sirf ek martaba woh bhi usee din aur har saal aap ki tarah bayan se zaid cheezon ke sath nahi
_____________________________________
🔹'AL - QUR’AN"
Tum Farmao'ALLAH'HiKe Fazal Aur Usi Ki Rehmat Aur Usi Par Chahiye Ke Khushi Manao....!!
Refrence : [ Tarjuma - Kanzul imaan, Surah YUNUS - 58 ]

⭕JAWAB⭕

Khushi se dili ki Kyushi Murad hai juloos aur fuzool kharchiwali aur itranewali nahi.

Allah taala ne qaroon ke juloos ke bare me surah e qasas ki aayat... 76 me farmaya Laa tafrah .. (khushi me ) Itrao nahi allah itranewale ko pasand nahi karta hai

_____________________________________
🔹'ALLAH'Ki Rehmat"NABI - E - KAREEM"Hai ;
Khud'NABE - E - PAK'Ne Apne Milad Par'ALLAH'Ka Shukra Bajaa Lane Ki Talkin Farmayi Aur Targib Di....!!
Complete Refrence Of This Hadees :
[ Muslim Sharif, Jild - 2, Safa - 819 ]
[ Nisaai, Jild - 2, Safa - 147 ]
[ Baihaqi Jild - 4, Safa - 286 ]

⭕JAWAB⭕

aap bhi isee tarah zabani aur huzoor SALALLAHU ALAIHI WASALLAM  ki itaat kar ke shukr adaa karo gairon ki tarah juloos aur roshni me mushabahat-naqal kiyun ikhtiyar karte ho!
______________
_______________________
🔹Hum"SAHABA"Sab Apne Bachcho Samet'HUZOOR Ke Istiqbal Ke Liye Wida Ki Ghatiyo Tak Gaye...!!
Refrence Of This Hadees :
[ Bukhari, Jild - 1, Safa - 543 ]

⭕JAWAB⭕

ham ko bhi aankhon se dikhao huzoor SALALLAHU ALAIHI WASALLAM kon se shahar me kon se waqt me tashreef laa rahe hai ham bhi istiqbal karenge balke palke bichha denge.
Hijrat kar ke madeen ki aamad ko wiladat par fit karna khiyanat hai. Qayase shaitani hai
_____________________________________
🔹Yahi'JULOOS - E - MILAAD'Hai ; Sahaba Aur Tabain Aur Digar Ahle Islam Ne Peer Ke Din Ka Roza Rakh Kar Bhi Milaad Manaya...!!
Refrence Of This Hadees : [ Abu Daawud, Jild - 1, Safa - 331 ]

⭕JAWAB⭕

Aap bhi roza rakho
Aap to eid manate ho dawate udate ho aur eid ke din roza rakhna haraam hai.

🔹Tou Hum Bhi Apne Pyare AAQA"صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ"Ki Paidaesh ka Zikr Sunate Jayenge Aur Shaitan ko Rulate Jayenge....!!

⭕JAWAB⭕

Balke 12 rabeeul awwal ahmad raza ki tahqeeq ke mutabiq wafat Ka din hai is din shaitan ki tarah khushi mana kar use bhi hasayeng
▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬
🔹Wiladat Ki Khushi Mein Jhande Lagana SUNNAT Hai *
.
* Nabi-e-Pak (Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Wiladat Ki Khushi Mein Jhande Lagana Farishto Ke Sardar Jibrayil (Alaihis Salam) Ki Sunnat Hai.
(Khasaaise Kubra,Jild-1)

⭕JAWAB⭕

is ka safa no. Nahi hai aur ham ko huzoor SALALLAHU ALAIHI WASALLAM aur sahaba RADEEYALLAHU ANHUM ki ittibaa ka hukm hai fareeshto ki ittibaa shareeat nahi farishte ko na khane ki zaroorat na pine ki na bv ki zaroorat hai wiladat ke din sahaba RADEEYALLAHU ANHU  jande lagaye ho aesi ek hadees bhi pesh nahi kar sakte ho jang ki fatah ke jande alag cheez hai

🔹* Meelad Un Nabi Ki Fazeelat *
* 1) Hazrat Abu Bakar Siddique (Radi Allahu Anhu) Ne Farmate Hain,
"jis shaks Ne Huzur (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ka Milad Shareef Padhne Par,
Ek Dirham (Arabic Currency) Bhi Kharch Kiya Wo Jannat Mein Mere Saath Hoga.
.
* 2) Hazrat Umar Farooq (Radi Allahu Anhu) Farmate Hain,
Jisne Huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam K Meelad Shareef Ki Tazeem (Respect) Ki,
Us Ne Jaise Ki Islam Ko Zinda Kar Diya.
.
* 3) Hazrat Usman Ghani (Radi Allahu Anhu) Farmate Hain,
Jisne Huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ka Meelad Shareef Padhne Par Ek Dirham Bhi Kharch Kiya,
Wo Jaise Ghazwa-e-Badr-o-Hunain Mein Haazir Huwa.
(Ghazwa Means A Holy War Which Is Fought In The Company Of Prophet Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam)
.
* 4) Hazrat Ali Murtaza (Radi Allahu Anhu Wa Karramallahu Wajhu Farmate Hain,
"Jisne Huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Meelad Shareef Ki Tazeem Ki,
Aur Meelad Padhe Jane Ka Sabab Bana,
Wo Duniya Se Imaan Ke Saath Hi Jayega,
Aur Jannat Mein Bhi Be-Ghair Hisab Ke Dakhil Hoga.
! (An Nemat-Ul-Kubra
Pg.No.5-6)
⭕JAWAB⭕

Meelad yani pedaish ka tazkirah is se ham mana nahi karte balke pyare nabi SALALLAHU ALAIHI WASALLAM ke khushbudar peshab aur qaza e hajat ka tazkirah bhi baise khair barkat aur sawab hai.
Ishkal had se zayada roshni, huzoor SALALLAHU ALAIHI WASALLAM ki har gali me salam ka hadiya lene aane ka bura aqeedah
Juloos, benar-bord wagairah  bidaat aur fuzool kharchi par hai

🔹Jab Talak Yeh"C H A N D - T A A R E"Jhil Milate Jayenge
Tab Talak"J A S H N - E - W I L A D A T"Hum Manate Jayenge....!!
Tera Khawa Main Tere Geet, Gawa"YA RASOOL ALLAH"
Tera Milaad Main Kyun Na Manawa"YA RASOOL Allah

⭕JAWAB⭕

Is bidat ko bhi hazrat mahdi rahmatullahi alayhi aa kar khatm farmayenge chad suraj to bahot baad ki baat hai isaa a.s. ke daur me bhi koi bidat na hogi.

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...