Friday, December 25, 2015

Aaj ka Sawal Aur Jawab

AAJ KA SAWAL NO.161

EID E MEELADUN NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM KI NIYAZ KHANA KON SEE SURAT ME JAIZ AUR KON SEE SURAT ME NA JAIZ?

➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
   AAJ KA  JAWAAB NO.566⭕

MEELAADU-N-NABEE KI  TA'YEEN-12 HI TAREEKH TAY KARNE KE  SAATH  KHANA  PAKAANA
(LOGON KO JAMAA KARNA) WAGHAIRAH  GUMRAH KARNE WALI BID'ATE HAI US SE BACHNA ZAROOREE HAI AUR  AGAR  KHANE  MAI NIYYAT  ISAALE  SAWAAB  KI  HAI  TO  KHANA MUBAAH (NA SAWAB NA GUNAH)  AUR  SADQAH HAI, AUR  AGAR  AKABIREEN  KE  NAAM  PAR  HAI (UN KO RAZI KARNE KI UN SE QAREEB HONE KI NIYYAT HO ALLAH KE NAAM PAR NA HUWA) GAIRILLAH KE NAAM PAR ZABAH KARNE KI SOORAT ME DAKHIL  HONE KI  WAJAH  SE HARAM HAI  AUR  AISE  AQAAID  FAASID  AUR  KUFR  KE  BAAIS  HAI..

( JAIZ SURAT)

🔖ISAALE  SAWAAB AGAR  DIN AUR  KHAS KHANE  KO TAY KIYE BAGHAIR  HO TO MUSTAHAB HAI  AUR  AGAR  DIN  AUR  KHANE  KO KHAS KARNE KE  SATH HO  TO  BID'AT HAI.

📗FATAWA  RASHIDIYA /138
📘FATAWA MAHMOODIYA 15/429

🔖AISE   MAWQON  MAI ISTARAH  KE  KHANE  PAKANE  KA  SHARIAT  MAI  KOI  SUBUT  NAHI  LIHAZA  YE KAAM  NA  JAAIZ  AUR  BID'AT  HAIN  AGAR  MAHAZ  RASM  KE  TOR  PAR  PAKAYA  JAYE  SAWAAB  KA  AQEEDA  NA  HO  TO  BHI  USME  BID'AT  KI  TAYEED-HONSLA AFZAEE AUR RIWAJ DENA HAI  LIHAZA  US SE BACHNA LAZIM HAI  USI  BINA PAR  KHANA  QUBOOL  KARNE  SE  BHI  BACHNA  CHAHIYE, ISKE  BAWUJOOD YE  HARAM  NAHI HAI.

📔AHSANUL FATAWA 1/375
BY SHAIKHUL HADEES MAULANA AHMAD RAHIL SB D.B.MADRASAH KANZE MARGOOB PATAN

 JAWAZ PAR AKAABIREEN IBARAT SE DALEEL PAKADNE KA JAWAB:
SHAAH ABDUR RAHEEM DAHELVI RAHMATULLAHI ALAYHI FARMATE HAI KE ME WILADAT KE DINON ME HUZOOR SALALLAHU ALAYHE WASALLAM KO ISALE SAWAB PAHONCHANE KI NIYYAT SE KHANA PAKWATA THA.EK BAR AESA HYWA KE MERE PAAS KUCHH NA THA KE ME KHANA PAKWATA BHUNE HUWE CHANO KE ALAWAH.TO MENE USI KO LOGON ME TAQSEEM KAR DIYA...IN JESI BUZRUGON KI IBARATON ME NA VILADAT KI KHUSHI KA TAZKIRAH HAI NA KHANE KE LIYR LOGON KA JAMA KARNE KA ZIKR(NA 12 TAREEKH KA ZIKR HAI BALKE LIKHA HAI MAVLOOD YANI VILADAT KE DINO ME NA JABARDASTI KA CHANDA HAI NA SHAREEK NA HONEWALON KO HAQEER SAMJHNA HAI NA MANDAP THA NA RASTA BANDH KAR KE AANE JANEWALON KO TAKLEEF PAHONCHNA HAI) LIHAZA IS SE DALEEL PAKADNA SAHEEH NAHI.

📙(FATAWA RASHIDIYYAH 137)

®TASDEEQ IMRAN ISMAIL MEMON UN KI MAGFIRAT KI JAYE
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Humre Sabhi Sawal jawab Aur Bhi baht kuch Message pane Ke liyA Islamic GrouP Application download Kre.. 👇🏿

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...