AAJ KA SAWAL NO.566⭕
JULOOS ME SHIKAT KARNA YA DEKHNA KESA HAI?
IS KI KIYA KIYA KHARABIYAN HAI?
🔵JAWAB🔵
Eid-e-miladun nabi k naam se 12 rabiul-awwal ko juloos nikaalna ahle -bidat ka shewa he..
Lihaza usme shirkat karna aur use dekhne k liye jana durust nahi.
Hadees shareef me rasoolullah sallahual alayhi wasallam ka irshad he
من كثر سواد قوم فهو منهم
Jo shakhs kisi qaum ki Tadad-majority ko zayada kare wo unhi me se hai
IS ME BE-SHUMAR KHARABIYA AUR BURAIYA HE....
Chunanche Eid-e-miladun nabi ki bidat ki ijaad ek seedhe andaz ne hui thi naat aur nazm salaam padha jata tha.lekeen aaj juloos me.
1.nach 2.gaana,3.music 4.be-pardagi , 5.mardo aurto ka ikhtilaat, 6.bad nigahi 7.namazo ko chhodna , 8.sharab noshi ,9.bad nigahi 10.atishbazi 11.rasta band karna jis ki wajha se aane jane walon ko haspatal aur dawakhane jane wale mareezon ko taklif takleef,12.rasta bandh hone ki wajha se emergency mareez ki jaan chali jana trafiq jaam,13.imargansi mareez ka raste me dam tod dena 14.jandon madeena sharef ki lakhon rs.ke modal, 15.cirsmast tree jesa meelad tree jis par asmaul husna likhe rehte hai,16.fuzool lighting.17,islaam jese sada mazhab ko gairon ki nigah me rangeen aur un ke mazhab jesa pesh karna 18.d.g. daf naat ki buland aawaz se zaeefon mareezon aur jaldi sonewalon ko takleef wagairah khurafat khullam khulla hone lage...
GAIRO SE MUSHABAHAT...
deen-e-islaam gairo se kisi tarah ki mushabahat ko pasand nahi karta, hatta k namaz jaisi ibadat me b tulooa , zawal , guroob ke waqt garon ki puja ke in waqton namaz se manaa kardiya
Jashne milaad manana 2 etibaar se gairo ki mushabahat ko shamil he.
1 ye k islam me birthday manane ka koi tasawwur hi nahi, agar islam me birthday manane ka koi tasawwur hota to khud sarwar-e-kainaat fakhre-do jahaa SALALLAHU ALAIHI WASALLAM 63 saal tak apni paidaaish ke baad hayaat rahe, us k baad sahaba 100 saal is dunya me rahe, tabi'een tab'e tabi'een aimma fuqaha mujtahideen muhaddiseen dunya me aaye.... na kisi ne birthday manayi na kisi ne jashne wiladat manaya...Na juloos nikala
2 ye k jashne wiladat manana Christiano ke Christmas manane k mushabeh he, 25 december ko Christmas ki bid'at shuru me hazrat isaa a.s. ki tareef karne k liye kuch majlise qaim ki gayi baad me hote hote ye bid'at tamam khurafaat (sharabo shabab) ki jad ban gayi...
agar huzoor SALALLAHU ALAIHI WASALLAM ki wiladat ka jashn manane ka tasawwur hota to huzoor ki wiladat dusre dunyavi paishwaao ki wiladat k barabar nahi he ke jis tareekh aur jis din paida hue us din ko kuch rusoomaat adaa karli jaye... balke huzoor sallahual alayhi wasallam ki paidaaish is baat kii mustahiq he k saaara saal aur saare saal ke har din aur har din ka har lamha jashne wiladat manayi jaye....aur uska tareeqah ye ho k huzoor jis mishan ko leker jis maqsad se is dunya me tashreef laye us mishan dawato tableeg -islaam ko sab mazhabon par galib karna har insan apni zindgi k har lamhe ka maqsad banaye.... tab kaha ja sakta he k ye shakhs AASHIQ-E-RASOOL he......
Kehte Hai kuch Musalmaan Mere Rag Rag May Nabi Nabi......
Lekin afsos, Padhte hay Ye Namaz mushkil se Kabhi Kabhi....
Nabi Ka Naam Sunte Hi Ye Jhoom Jate Hai ...
Lekin Nabi Ka Hukum Sunte Hi ye Ghoom Jate Hai....
Allah Hum Sab Ko Hidayat De Ameen.
✏mufti waseem wagh bakriwala surat muhtameeme madrasah imdadiyah chok bazar surat
®Tasdeeq,tasheel,izafa IMRAN ISMAIL MEMON UN KI MAGFIRAT KI JAYE
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
No comments:
Post a Comment