Tuesday, July 31, 2018

🥛KHAREEDAR KI MILKIYAT ME DUDH KHARAB HO GAYA🥛

*🥛KHAREEDAR KI MILKIYAT ME DUDH KHARAB HO GAYA🥛*

⭕ AAJ KA SAWAL NO.1432⭕

Ek shakhs hotel se rozanah 50 litre dudh mangwata hai dudhwale se 6 mahine ka muaahadah (agreement) hai har hafte maalik hisab karta hai, kabhi dudh kharab ho jata hai to hotel wala kehta hai ke me aaj ke is dudh ke paise nahi dunga ya jitni qeemat tay huyi hai usse kam dunga to khareedar ka aisa karna shar`an kaisa hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Dudh hotel wale ke qabze me aa kar fat gaya to uski zimmedari bechne wale ki nahin hai.

Isliye hotel wale ka muqarrarah (tay ki huyi) qeemat se kam dena ya qeemat hi na dena shar`an jaiz nahin.

📗ALAMGIRI 5/275
BA HAWALA

📕MAHMOODUL FATAWA 3/39

و الله اعلم بالصواب

*ISLAMI TAREEKH* : 16 ZEE QADAH 1439 HIJRI

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.

🕌 Ustaad e Darul Uloom Rampura surat, Gujarat, India.

📲💻
http://aajkasawal.page.tl

Download Our Application
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islamic.group.kwsjhpvbkgbtlumfelua

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...