Friday, July 27, 2018

☀SURAJ AUR CHAND GRAHAN🌙

*☀SURAJ AUR CHAND GRAHAN🌙*

⭕AAJ KA SAWAL NO.1429⭕

Suraj aur chand grahan ki kya haqiqat hai aur hame kya karna chahiye?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

*Suraj aur chaand Grahan ki haqiqat aur us ki namaz ka tareeqah (eclipse)*

Bismillah hirrahman nirrahim

Hadith : Suraj aur chand mein Grahan (eclipse) dekho to Namaz  Padha karo aur Dua kartey raho

Abu Bakra Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasullallah Sallallahu Alayhi Wasallam  ne farmaya: *Suraj aur chand  dono Allah Subhanahu ki nishaniya hain aur Kisi ki wajah se inme in Grahan (eclipse) nahin lagta bulke Allah subhanahu uske zariye apne bando ko darata hai (ya'ani qayamat se darata hai ke qayamat ke din bhi chand aur suraj ko grahan lag jayega (woh be-noor bagair roshni ke ho jayenge)

📗Sahih Bukhari, Vol2, 1048

Abu Bakra Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki hum Rasullallah Sallallahu Alayhi Wasallam ki khidmat me hazir the ki Suraj ko grahan lagna shuru ho gaya Nabi Sallallahu Alayhi Wasallam masjid me gaye saath me hum bhi gaye Aap ne aur hum ne Do rakaat namaz padhi yahaan tak ki suraj saaf ho gaya fir Rasullallah Sallallahu Alayhi Wasallam ne farmaya:- *Suraj aur chand mein Kisi ki maut ki wajah se grahan (eclipse) nahin lagta, jab tum grahan dekho to Namaz padho aur Dua karte raho jab tak Grahan chala na jaye.*

📘Sahih Bukhari, Vol2, 1040

*CHAAND GRAHAN KI NAMAZ KA TREEQA*

Chaand grahan aam taur par raat me hota hai isliye is me jamat karna aur khutba padhna hanfiyah aur malikiyah ke nazdeek saabit nahin, lihaza is namaz ki infiradi taur par ghar ya masjid me bila jamaat padhni chahiye

🖊TASDEEQ:- mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.

*ISLAMI TAREEKH*: 13 ZEE QADAH 1439 HIJRI

🕌 Ustad e Darul Uloom Rampura surat, Gujarat, India.

📲💻
http://aajkasawal.page.tl

Download Our Application
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islamic.group.kwsjhpvbkgbtlumfelua

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...