*BAGAIR SAMAN KE SIRF BIL BECHNA*
⭕ AAJ KA SAWAL NO.1423⭕
Zaid ne khalid se das hazar ki raqam ka saman kharida lekin khalid ne kisi maslihat ki wajah se zaid ko saman ka bil nahin diya ab zaid ko sarkar me hisab paish karne ke liye bil ki zarurat padi to zaid ne bakar naami taajir ko jaa kar kahaa ke mene khalid se maal kharida hai magar usne bil nahin diya to tum mujhe bil de sakte ho?
Bakar ne kahaa dunga magar jitna rupiye ka bil banawunga us me so par panch rupiye bil ke aewaz me dene honge.
Sawal yeh hai ke zaid
ke liye aewaz de kar bil lena aur bakar ke liye bagair maal diye sirf bil dene ke aewaz raqam lena durust hai ya nahin?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Durust nahin, fareb aur dhoka hai.
و الله اعلم بالصواب
📗Mahmoodul fatawa 3/32
*ISLAMI TAREEKH* : 8 ZEE QADAH 1439 HIJRI
✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.
🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.
📲💻
http://aajkasawal.page.tl
Download Our Application
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islamic.group.kwsjhpvbkgbtlumfelua
No comments:
Post a Comment