*TEEN TALAQ KI HIKMAT*
⭕AAJ KA SAWAL NO. 1424⭕
Islami shareeat me teen hi talaq kyun hain teen se ziyadah ya teen se kam kyun nahin hain?
Teen talaq me bivi haraam kyun ho jati hai?
🔵 AAJ KA JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Arab ke jahiliyat ke zamane me talaq ki koi had tay na thi log jitni chahe talaq dete the aur uske baad bivi se rujooa (nikah me wapas) kar lete the,
Kyun ke iddat khatm ho to nikah khatm ho jata hai, masalan chothi martabah bhi talaq di aur iddat (teen haiz ya teen mahine) puri ho uske pehle hi wapas rujooa (nikah me zuban se bolkar ya haath se chhukar wapas) kar lete the, is tarah zalim shohar se bivi ko chhutkara na milta tha dasyon aur bisyon martaba aisa karte the agar bivi chali bhi jaati to bivi ko samjha pataa kar mithhi mithhi baten kar ke wapas bula lete the goya talaq ko khel bana rakha tha,
Isliye Hazrat paigamabar صل اللہ علیہ وسلم ne is zulm ko aur tamashe ko khatm karne ke liye farmaya: Talaq ziyadah se ziyadah teen hi hain teen se bivi haraam ho jayegi taake log tisri talaq soch samajh kar de wapas na lane ka pakka iradah ho waqiee bivi se uski kami kotahi ki wajah se nafrat ho chuki hai to hi tewn talaq de kyun ke ab sirf rujooa karna ya sirf nikah padhna kaafi nahin balke us bivi ko wapas lana ho to talaq dene ki shart kiye bagair woh kisi se nikah kare aur bivi ka jismani haq (sohbat-sambhog) se adaa kare aur dusra shohar jab chahe apni marzi se talaq de ya na bhi de ya uska intiqal ho jaye aur us ki baad uski iddat khatm hone ke baad bivi apni marzi se chaahe to hi wapas tere nikah me aayegi. ab dusri baar nikah ke mahar ke rupiye, shadi ka pura kharch tujhe hi karna padega ab wapas lana aasan nahin. isliye bahot soch samjhkar talaq dena.
Jama (plural, bahuvachan) me kam se kam teen hota hai. pehli talaq nikah ke khatm karne ki talab ultimatum ke liye dusri us iradah ke takmil ya'ani usko pakka batane ke liye hai aur tisri to bahot ho gayi isliye nikah hi khatm.
📗RAHMATULLAHE WASIAA SHARHE HUJJATULAHE BALIGAH SE MAKHOOZ.
و اللہ اعلم بالصواب
📝 Mufti Imran Ismail Memon.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat, Gujarat,india
📱💻http://aajkasawal.page.tl
Download Our Application
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islamic.group.kwsjhpvbkgbtlumfelua
No comments:
Post a Comment