Monday, July 2, 2018

SHIRKAT INVEST KA MUNAFA FEESAD SE LENA

*SHIRKAT INVEST KA MUNAFA FEESAD SE LENA*

⭕ AAJ KA SAWAL NO.1402⭕

Ba'az company apne karobar me invest aur shirkat ki dawat deti hai aur kehti hai ke aap ki raqam par ham 15% se 20% tak ham munafa denge to kya aisa munafa jo fix nahin hai le sakte hain?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Yee munafa agar karobar ke majmooi (totally) munafe ke bajaye lagayi huyi raqam ka 15% se 20% hota hai to yeh bhi ek tarah ka fixed munafa hi hai jo sood hai aur uska len den jaiz nahin.

Jaiz surat sirf yeh hai ke Jo shakhs jitni raqam lagaye woh karobar ke munafe aur nuqsan dono me shareek ho aur Company me invest karne ka munafa company ke pure invest ki jitni feesad (percent)  raqam usne lagayi hai munafa utna hi feesd (percent) wusool kare.

Ya'ani company jitna munafa kamaye usme se koi ek mutayyan percent ki patnarship tay kar ke utna percent us munafe me se wusool kare.

📗FATAWA USMANI 3\44 SE MAKHOOZ

و الله اعلم بالصواب

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.

🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.

📲💻
http://aajkasawal.page.tl

Download Our Application
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islamic.group.kwsjhpvbkgbtlumfelua

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...