Wednesday, July 11, 2018

KAAM NA KAR KE TANKHWAH (SALARY)  LENA

*KAAM NA KAR KE TANKHWAH (SALARY)  LENA*

⭕ AAJ KA SAWAL NO.1413⭕

Agar koi mulazim (nokar) sarkari (ya private) mulazimat karta hai, mulazimat ka waqt subah 10:00 baje se sham 5:00 baje tak hai, mulazim dastakhat (sign) kar ke haziri laga kar aa jata hai aur mulazimat ke awqat ghar par guzarta hai aur us wawt koi bade sahab (nigran ya seth) aa jayen aur puchh tachh kare to apni tabiyat kharab batlana wagairah bahana kar deta hai

Aur jis waqt haqiqat me bimar hota hai to apne saathi mulazim (nokar) ko haziri lagane ko kehta hai ke meri haziri laga dena aur woh sahab haziri bhi laga dete hain aur mahine ke akheer me barabar tankhwah (salary) haasil karta hai to yeh tankhwah lena kaisa hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Yeh tankhwah haraam aur na-jaiz hai.

📗MAHMOODUL FATAWA JILD 3 SAFA 25

PEERO MURSHID NAMOONAH E SALAF HAZRAT AQDAS MUFTI AHMAD KHANPURI DAAMAT BARKAATUHUM WA MADDAT FUYOOZUHUM

و الله اعلم بالصواب

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.

🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.

📲💻
http://www.aajkasawal.page.tl

Download Our Application
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islamic.group.kwsjhpvbkgbtlumfelua

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...