Monday, July 30, 2018

PARCEL ZAYEA HO GAYA TO NUQSAN KA ZIMMEDAR KON?

*PARCEL ZAYEA HO GAYA TO NUQSAN KA ZIMMEDAR KON?*

⭕ AAJ KA SAWAL NO.1431⭕

Taajir ne khareedar ki talab par ba zariye transport maal rawana kiya, raste me maal zayea ho gaya to us nuqsan ko taajir -bechnewala bardasht karega ya khareedar?

Aaj kal ke urf ke mutabiq taajir ke zimme nuqsan aata ho to khareedar ke liye taajir se us nuqsan ko wasool karna sahih hai ya nahin?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Jo maal daak(post), Railway, transport wagairah ke zariye se rawana kiya jaye woh us ke qabze me samjha jayega jisne yeh hukm diya ho, agar khareedar ne likha ke fulan maal railway ya daak ya transport me bhej do aur zayea ho gaya to Bechnewala zimmedar nahin, usne goya khareedar ke wakeel (ya'ani courier, railway ya trasport) ke hawale kar diya (to trasport wale ka qabzah khareedar ka qabza samjha jayega) aur agar uska yeh hukm na tha bechne wale ne khud bheja to rawangi-bhejna aur bechi huyi cheez ka sonpna-hawale karna nahin huva (bechnewale hi ka qabzah baaqi raha) lihaza behne wala nuqsan ka zimmedar hoga khareedar nahin.

📘ITRE HIDAYAH 102

📗MAHMOODUL FATAWA 3/26

و الله اعلم بالصواب

*ISLAMI TAREEKH* : 15 ZEE QADAH 1439 HIJRI

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.

🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.

📲💻
http://aajkasawal.page.tl

Download Our Application
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islamic.group.kwsjhpvbkgbtlumfelua

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...