*UDHAR (CREDIT) SE MAAL BECHNE ME MUNAFA ZIYADAH LENA*
⭕ AAJ KA SAWAL NO.1405⭕
Me dukan ka saaman is tarah garahak ko keh kar bechu ke yeh saaman ke paise aap naqad (cash) dete ho to das hazar (10,000) aur udhar (credit) me lete ho to baarah hazar (12,000) to kya yeh ziyadah munafa sood hai?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Udhar ki wajah se qeemat me izafa karna jaiz hai, *ba-sharte ki muaamalah ki majlis hi me uska naqad ya udhar lena tay ho jaaye agar udhar lena tay ho to uski muddat bhi tay ho jaaye yeh shakal Jaiz hai.*
📗FATAWA USMANI 3 116 SE MAKHOOZ.
و الله اعلم بالصواب
✍🏻MUFTI IMRAN ISMAIL MEMON HANAFI CHISTI.
🕌 USTAAD E DAARUL ULOOM RAMPURA SURAT, GUJARAT, INDIA.
📲💻
HTTP://AAJKASAWAL.PAGE.TL/
Download Our Application
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islamic.group.kwsjhpvbkgbtlumfelua
No comments:
Post a Comment