*JANWAR KI 7 CHIZEN BECHNA*
⭕ AAJ KA SAWAL NO.1419⭕
Janwar ke jism me se 7 chizen nikalti hain behta khoon, janwar ki aage ki sharmgah, pichhe ki sharmgah, peshab ki theli, khusyatain, pittah, haraam magz in chizon ko fenk dene me yeh chiz zayea ho jati hai lekin agar ham bech de to yeh paisa garibon ko de sakte hain to in chizon ka bechna jaiz hai ya nahin?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Janwar ki jism me nikalne wali woh chiz jin ka khana mamnua (manaa) hai do qism ki hain ek jiski hurmat dalile qatee (Qur'an) se saabit ho jaise behne wala khoon isko pina haraam aur bechna haraam, iski kamaayi bui haraam, dusri chiz woh hai jiski mumaniat khabre wahid (aisi hadees jisko naqal karne wala kisi bhi zamane ek hi rawi rahe ho) se saabit ho to usko khana makruh e tahrimi hai yeh 6 chizen bataure dawa bhi isteamal ho sakti hain lihaza is ko bechna jaiz aur iski kamati halaal hai.
📗FAWAWA QASMIYAH 19/353
و الله اعلم بالصواب
*ISLAMI TAREEKH* : 4 ZEE QADAH 1439 HIJRI
✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.
🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.
📲💻
http://aajkasawal.page.tl
Download Our Application
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islamic.group.kwsjhpvbkgbtlumfelua
No comments:
Post a Comment