*GAIR MUSLIM KI KAMAI HARAM HO TO US KA HADYA YA DAWAT QABOOL KARNA*
⭕AAJ KA SAWAL NO.1418⭕
Mera Gair muslim se tijarati talluq hai, us ki kamai haraam hai, woh sharab bhi bechta hai, logon ke gair sharee baal banata hai, darhi mundta hai, aur juwa ki bhi aadat hai, to me use koi cheez bechkar us ki qeemat us ki kamai me se le sakta hun ?
woh kabhi koi hadya pesh karta hai, kabhi dawat deta hai to us ka hadya qabool karna ya dawat khana durust hai ?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Jis gair muslim ki kamai sawal me puchhi hui maamalat ki ho to, us ke sath musalman ka saheeh, len den jaiz hai. (Yani us se qeemat lene us ki dawat khane, hadya qabool karne ki gunjaish hai)
📗IMDAADUL AHKAAM 3/410
📘BA HAWALA FATAWA ZAKARIYA 5/234
و الله اعلم بالصواب
*ISLAMI TAREEKH* : ZEEQADAH 1430 HIJRI
✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.
🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.
📲💻
http://www.aajkasawal.page.tl
Download Our Application
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islamic.group.kwsjhpvbkgbtlumfelua
No comments:
Post a Comment