*SHOHAR NA-MARD HO TO TALAQ KA MUTALABAH*
⭕ AAJ KA SAWAL NO.1427⭕
Mera shohar na-mard hai kai mahine huve usne mera haq e zawjiyat ada nahin kiya, ab mera uske saath rehna bahot mushkil hai me talaq ka mutalabah karti hun to woh talaq nahin deta aisi shakal me kya kiya jaye?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Sab se pehle apne is da'ave par sharaee gawah paish kiye jaye woh na ho to aap ke shohar ka doctori muaayinah (check up) karvaya jayega usme ya sharaee shahadat se na-mard hona saabit ho jaye to talaq ka mutalabah kiya jaye
Fir bhi talaq na de to khulaa (aurat ka maal de kar talaq lena) ki paish kash ki jaye is par bhi raazi na ho to Darul qaza imarate shar'iyyah me apna muamala paish kare qazi tahqeeq kar ke use ek saal ilaj ki muhlat dega.
Ilaj ke baad bhi agar sohbat par qaadir na hona saabit ho jayega to nikah ko faskh (cancelled) kar dega.
📗FATAWA QASMIYAH JILD 16 SAFA 250,252
و الله اعلم بالصواب
*ISLAMI TAREEKH* : 12 ZEE QADAH 1439 HIJRI
✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.
🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.
📲💻
http://aajkasawal.page.tl
Download Our Application
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islamic.group.kwsjhpvbkgbtlumfelua
No comments:
Post a Comment