Monday, July 9, 2018

MULAZIM (NAUKAR) KA MUTAYYAN BHAW (QIMAT, PRICE) SE ZAAID QEEMAT PAR BECHNA

*MULAZIM (NAUKAR) KA MUTAYYAN BHAW (QIMAT, PRICE) SE ZAAID QEEMAT PAR BECHNA*

⭕ AAJ KA SAWAL NO.1411⭕

Dukan ke malik ne cheezon ka bhaw mulazim ko bataye hain, mulazim usko ziyadah qeemat me bechta hai, masalan kisi cheez ki 60 rupiye to qimat hai mulazim us cheez ko 70 rupiye me bech kar das rupiye apne paas rakhta hai aur 60 rupiye maalik ko deta hai to kya is tarah mulazim ko 10 rupiye lena jaiz hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Us mulazim ki haisiyat bechne ke wakeel ki hai isliye puchhi huyi surat me agar usne us cheez ko jis ke mutalliq maalik ne use 60 rupiye me bechne ko kahaa tha, usne 70 me becha to bechna durust aur sahih hai lekin zaaid raqam 10 rupiye bhi maalik ki milk samjhe jayenge woh mulazim woh raqam apni jaib (pocket) me nahin rakh sakta, agar aisa kiya yo yeh khayanat hai.

📗MAHMOODUL FATAWA 3/16

و الله اعلم بالصواب

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.

🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.

📲💻
http://aajkasawal.page.tl/

Download Our Application
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islamic.group.kwsjhpvbkgbtlumfelua

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...