Sunday, April 1, 2018

SOOD (interest) HARAAM HONE KI HIKMATEN*

*SOOD (interest) HARAAM HONE KI HIKMATEN*

⭕ AAJ KA SAWAL NO.1313⭕

Islaam me sood (interest) kyun haraam hai? aisa hamare ba'az gair muslim bhai puchhte hain, unko kya jawab diya jaye aur ba'az musalman jinka aakhirat par iman kamzor hai aur isme fanse hai unko bhi uske dunyawi nuksaanat batana hai taake woh bache.

Lihaza uski hikmate aur nuksanat batane ki guzarish.

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

*PART 1.*

Sood ke Haraam hone ki bahot si hikmaten hain aur uske beshumar dunyawi nuksanaat hain jin me se chand hasbe zail hai.

1. Isme kisi se nafa (profit) lene ka haq nahin, kyun ke paise udhar dene wale ki mehnat nahin hoti rahan (girwi) lekar dene me risk bhi nahin aur paise ka deewala  (ghaata, loss) bikul nahin hai lihaza nafa kis cheez ka?

*2. Zulm ka gunah hai* kyun ke Agar kisi ne udhar bimari ke ilaaj ya padhayi (education) ya zindagi guzarne ke zaruri saaman wagairah aisi zarurat ke liye liya jisme un paison se woh kuchh bhi rupiya nahin kamayega to aise shakhs ko hame un paison ka malik bana kar ya apni haisiyat ke mutabiq uski madad karni chahiye yeh insaniyat ka taqazah hai fir bhi us se nafa lena us par zulm hai.

*3. Beraham aur sakht dili ho jana* Uper bataya us tarah ke haalat aur zarurat me bhi use bila nafe ke udhar na dena us par raham na khana hai aur usse majboori ka faidah utha kar fixed nafa lene se dil sakht ho jata hai.

*4. Gareeb ko aur gareeb bana dena* kisi gareeb ne apni gurbat ki wajah se apni zarurat puri karne ke liye udhar liya aur usne kuchh bhi na kamaya fir bhi usse nafa lena usko ziyadah gareeb bana dena hai uski cheezen bikwa dena hai

*5.Khud garz ho jana* udhar aur qarz maange wale aksar rishtedar, padosi ya dost hote hain unki in talluq ki wajah se madad karni chahiye ya kam se kam bila sood liye qarzah dena chahiye fir bhi nafa lena yeh khud garzi aur mafaad parasti aur be sharmi hai.

*6. Insaan ki Taraqqi me rukawat aur tijaarat me aage na badhne dena*
Jisne karobar aur dhandhe ke liye qarzah liya hai usse dene ki tarikh hi se fixed nafa lena uska khoon chusa (sosan karna) hai kyun ke uska karobar pehle hi din se shuru nahin ho jayega,  jab shuru hoga tab shuru ke chand mahino hi me woh nafa kamane wala nahin ban jayega, jab nafa kamane lagega to yeh zaruri nahin ke aap ko fix nafa de uske baad bhi uske paas nafa bachega, usko karobar me nafa nahin bhi mil sakta hai balke nuksan bhi ho sakta hai,

Itni saari eahtamalaat (possibilities) aur nafa na milne ki surate hain iske ba wajood usko pehle din aur har mahie nafa na mile fir bhi usse har din ka fixed nafa lena yeh aqal aur hisaab ke bhi khilaf hai woh sood chukane me hi karobar chhod dega aur tajir (businessman) ke bajaye mazdoor ban jayega.

           (Baaqi 6 kal insha'Allah)

و الله اعلم بالصواب

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.

🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.

📲💻
http://www.aajkasawal.page.tl

http://www.aajkasawalgujarati.page.tl

http://www.aajkasawalhindi.page.tl

Telegram channel :
Https://t.me/AajKaSawalJawab

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...